Hyderabad : Punjagutta ke qareeb namaloom afraad ne itwaar ki subah qatal ke muqadmay mein mulzim ek auto raksha driver ko qatal kardiya. police ke mutabiq, maqtool ki shanakht Punjagutta mein rehne walay Meer Riyazat Ali ki haesiyat se ki gayi hai, jo 3 mah qabal Ek aur auto driver Ahmed ke qatal ka mulzim tha, yeh mubayyana tor par na-jaaiz taluqaat ka maamla tha.
Punjagutta police ne is muamlay mein riyazat Ali ko giraftar karkay remand mein le liya tha, aur haal hi mein riyazat Ali ko zamanat par riha kiya gaya tha. itwaar ki subah kuch na-maloom afraad, jinke barey mein kaha gaya hai ke woh Ahmed ke saathi hain, woh riyazat Ali taqub is waqt kiya, jab woh Punjagutta mein chaye peenay ke liye nikla tha. un afraad ne is par talwaron se hamla kar ke is ka qatal kar diya. aur wahan se farar hogaye.
Is waqea ki ittila milnay par Punjagutta ke ACP, mauqa par pohanche aur laash ko post mortem ke liye Gandhi Hospital muntaqil kar diya. aur IPC ki dafaa 302 ke tehat muqadma darj kiya gaya aur mulzimaan ki talaash shuru kardi. –YTN STAFF