Tuesday, May 14, 2024
HomeIndiaPunjab mein barsar iqtidaar Congress party ne CAA ke khilaaf qarardaad manzoor...

Punjab mein barsar iqtidaar Congress party ne CAA ke khilaaf qarardaad manzoor ki

Chandigarh: Punjab mein barsir iqtidaar party congress ne Jummay ke roz, Reyasti Assembly mein shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ke khilaaf ek qarar daad manzoor ki. Aur Kerala ke baad, Is qanoon ke khilaaf qarardaad manzoor karne wali doosri riyasat ban gayi. Local Bodies aur parliamani umoor ke wazeer  Brahm Mohindra ne is qanoon ke khilaaf 2 roza Assembly ijlaas ke dosray din ek qarardad pesh ki.

Mohindra  ne qarardad ko padhte hue kaha ”Parliament mein paas kardah CAA, Mulk bhar mein ehtijaj ka baais bana hai aur is se logoun mein sakht gham o gussa aur masharti bad amni phail gayi hai“.

Is qanoon ke khilaaf Punjab mein bhi par aman ehtijaj kiya gaya aur muashray ke tamam shoba jaat ke logoun ne is mein hissa liya. Mein aap ko wazeh ho ke, Is se qabal Kerala hukoomat ne bhi is qanoon ke khilaaf ek tajweez layi hai. Is ke sath hi Kerala hukoomat ne is qanoon ko Supreme Court mein challenge kiya hai.

Jumaraat ke roz wazeer aala Amarinder Singh  ne shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ke khilaaf tajweez laane ke imkaan ko radd nahi kiya. Un se pochha gaya ke, Kya reyasti hukoomat Kerala ki terhan CAA ke khilaaf koi tajweez laane wali hai. Is par Singh ne kaha ”kal tak intzaar karen“.

Wazeer aala ne kaha” CAA ke maslay ne pore qoum ko hila diya hai. Unhoun ne kaha ”Is mulk mein ye kya ho raha hai.? hamein tareekh se sabaq seekhne ki zaroorat hai. 1930 ki dahai mein Europe mein bhi aisa hi huva tha. Pehlay wo Communists ke khilaaf they, Phir yahudioun ke khilaaf they. Ye mazhabi safaya hai “. Unhoun ne kaha ke ”Is mulk ke Secularism ko tabdeel karne ki koshish ki ja rahi hai.

Wazeer aala Punjab ne haal hi mein kaha tha ke un ki hukoomat tafarruqa angaiz CAA par amal dar aamad nahi hone day gi. Singh ne kaha ke wo aur congress mazhabi zulm o sitam ka shikaar aqlitoun ku shehriat daine ke khilaaf nahi hain, Balkay CAA mein musalmanoun sameit kuch deegar mazhabi baradrioun ke sath imtiazi sulooq ki mukhalifat karte hain.

Kerala Assembly ne is mutanazia qanoon ko khatam karne ke liye ek qarar daad manzoor ki hai aur wo aisa karne vali pehli riyasat ban gayi hai. Jabkay Punjab is silsila mein doosri riyasat ban gayi hai.

mazgura qarardaad mein kaha gaya hai ke ”Ye wazeh hai ke CAA hindustan ke secular tashkhas ki khilaaf warzi kar taa hai, Jo hamaray aeen ki bunyadi khusosiyat hai. Lehaza ewaan hukoomat hind se par zor mutalba kar taa hai ke wo shehriat dene mein mazhab ki bunyaad par kisi bhi qisam ke imtiaz se bachney aur hindustan mein tamam mazhabi garohoun ke liye qanoon ke samne masawaat ko yakeeni banane ke liye CAA ko mansookh kere. –YTN STAFF