Friday, May 10, 2024
HomeIndiaPunjab mein 60 hazaar NRIs gayab, Riyasat mein dehshat ka mahol

Punjab mein 60 hazaar NRIs gayab, Riyasat mein dehshat ka mahol

Chandigarh: Hindustan mein Corona ke khauf ke darmain Haryana ki sarhadein poori terhan band kardi gayi hain. Haryana ki sarhadein charoun taraf se Coronavirus ko le kar be hadd hassas tasawwur ki ja rahi hain. Is darmain 2 mahinay mein Punjab lautay 90 hazaar NRI mein se 60 hazaar ke gayab honay ki khabar se Haryana mein bhi dehshat qaim hogayi hai. Halaat aisay hain ke Punjab se mulhiq Haryana ke taqreeban nisf darjan azlaa ke gaoun mein Thekri ke zareya pehra diye jane ka hukum sadir kar diya gaya hai.

Punjab se sattay Ambala, Kurukshetra, Kaithal, Jind, Fatehabad aur sarsa azlaa mein Punjab ke un NRI Hindustanyoun ke pounchanay ka imkaan hai. Hukoomat ki taraf se kaha gaya hai ke un azlaa mein Sarpanj  khusoosi tavajja rakhen aur kisi ko bhi gaoun mein anay ki ijazat na di jaye. Agar koi aata bhi hai to is ki ittila zila intizamia ko di jaye. Sarpanjoun ko gaoun mein Thekri ke zareya pehra aur chokedaroun ke zareya se khusoosi munaadi bhi karwnay ki hidaayat di gayi hai.

Zila intizamia ne is baat ki hidaayat di hai ke beroun mumalik se, Doosri reyastoun ya shehroun se guzashta 15 dinoun mein gaoun mein aeye logoun ke baray mein zila Headquarters ko mutala kiya jaye aur agar aisay ashkhaas ki aamad gaoun mein hoti hai to pooray gaoun ko achi terhan se Sodium Chloride Spray se Sanitization karwaya jaye aur is fard ke baray mein jaankaari foran zila intizamia ko day kar Quarantine kiya jaye. Ye hukum naib Chief Minister Dushyant Chautala ke hawalay se diya gaya hai.

 Doosri taraf Chief Minister Manohar Lal Khattar ne badi tadaad mein mohajir mazdooroun ke safar ko dekhte huve sabhi bain reyasti aur bain zila sarhadein bandkarne ki hidaayat dete huve kaha hai ke jo jahan hai, Usay wahein rokk kar rakha jaye aur doosri taraf jaaney ki ijazat hargiz na di jaye. Chief Minister ne Video Conferencing ke zareya zila Deputy Commissioner aur police Superintendents ko hidaayat di hai ke aisay logoun ke liye wahein par Relief Camp qayem kar ke un ke khanay peenay aur rehne ka intizam kiya jaye. Agar phir bhi koi zabardasti karta hai to is ke khilaaf sakht karwai ki jaye. Logoun ko raastoun par rehne ki ijazat bilkul nahi di jaye gi.

Chief Secretary  Keshni Anand Arora ne kaha hai ke riyasat bhar mein zila intizamia ki janib se ziloun mein 129 Relief aur Shelter Home banaye gaye hain. Un mein ruke huve 29328 mazdooroun ko khana diya ja raha hai. Ohdedaroun ke sath mulaqaat mein unhoun ne hidaayat di hai ke bain reyasti sarhadoun aur banaye gaye Relief o Shelter Home par har mohajir mazdoor ki Thermal Screening ke sath sath sabhi terhan ki tibbi sahuliyaat muhayya ki jaye. Agar kisi mein koi bhi alamat nazar aeye to aisay mazdooroun ke Quarantine karne ka intizam bhi yakeeni ho. Unhoun ne ohdedaroun ko ye yakeeni bananay ke liye hidaayat di ke riyasat mein mukhtalif sanati Unites ko un ke kaarkhanoun mein kaam karne walay mazdooroun ko un ki thankhowa dainay ke liye kaha jaye aur ye bhi yakeeni banaya jaye ke un mazdooroun ko rehne aur khanay ki sahoolat bhi di jaye. –YTN STAFF