Thursday, May 9, 2024
HomeSliderProfessor Jayshankar ko KCR aur deegar ka kheeraj

Professor Jayshankar ko KCR aur deegar ka kheeraj

Hyderabad: Telangana ke nazriya saaz professor Jayshankar ko aaj un ki yom-e-paidaiesh ke mauqa par Telangana bhar mein yaad kiya gaya. Professor Jayshankar ne 1952 se Telangana ko riyasat ka darjah dilanay ke liye jad-o-jehad ki thi. wo is mein kaafi sargaram they. Wazeer-e-aala K Chandrashekhar Rao ke ilawa reyasti wuzra aur ahem shaksiaat ne un ko kharaaj pesh kiya. Apne payam mein wazeer-e-aala ne kaha ke professor Jayshankar ne Telangana ki tehreek aur nazriya ko phelanay ke liye kaafi jad-o-jehad aur masaay ki. Un ki zindagi hamesha yaad rakhi jaye gi. Professor Jayshankar ka maqsad tamam shoba jaat mein jamia taraqqi ke sath alhedah riyasat ko haasil karna tha. Wazeer Finance Harish Rao ney un ko Twitter ke zareya kharaaj pesh kiya.

Unhoun ney kaha kay professor Jayshankar ney Telangana riyasat ko haasil karne ke liye jad-o-jehad ki thi aur sonahere Telangana ki raah hamwar ki thi. Isi douran wazeer ST behbodi khawateen-o-atfaal Satyavathi Rathod ney hukmaran jamaat TRS ke head quaters Telangana Bhavan mein Jayshankar ke mujasma par golhaye aqeedat pesh kiye. Sath hi party ke deegar leaders ney bhi professor Jayshankar ko kharaaj pesh karte hue un ki khidmaat ko yaad kiya. Isi douran Telangana Jagruti  ki sarbarah-o-sabiq rukan parliment ke K. Kavitha jo wazeer-e-aala K Chandrashekhar Rao ki dukhtar hain unhoun ne bhi kharaj pesh kiya aur kaha ke un ki yom-e-paidaiesh ke mauqa par ek geet jari kiya gaya.