Sunday, May 19, 2024
HomeHyderabadProf Kodandaram ki ab BJP par nazrain

Prof Kodandaram ki ab BJP par nazrain

Hyderabad. Congress ki zair e qayadat siyasi mahaz se naakhush Professor Kodandaram ki Telangana Jana Samithi Party ab doosri raahein talaash kar rahe hain. TJS sarbarah ab BJP ki nazrain bichaya huwe hain. Congress ki zair qayadat siyasi mahaaz ney jise azeemtar ittehaad par mahmol kiya ja raha hai, TJS ko 3 nashiston se ziyada chodney par amaada nahi hai. Zaraye ke mutabiq Professor Kondandaram ab zafrani party ki janib nazrain bichaya huwe hain. Yeh afwaah bhi gasht kar rahi hai ke Professor Kodandaram ney Bharatiya Janata Party ke senior quied Mr. Bandaru Dattatreya se khufia mulaqaat kar chukay hain. Nau tashkil shuda Telangana Jana Samithi jo paheli martaba intekhabi siyasat mein hissa lainey jarahi hai ibtida mein yeh daawa kiya tha ke Telangana ki tamam nashiston par apne umeedwaar khada kere gi magar yeh dekha ja raha hai ke TJS ke banner par muqaabla karne ke liye koi taaqatwar umeedwaar agay nahi aaraha hai. Surathaal ko bhaanp letay huwe Professor Kodandaram ney siyasi ittehaad karne ki koshish ki magar un ki partiyon ko mukhalif TRS Parties ziyada ahmiyat nahi dey rahi hain. Unhon ne haal hi mein yeh bayan diya tha ke TJS tanha TRS ko shikast dainey ke mauqqaf nahi hai taham kayi Assembly halqon mein woh tawazun par asar andza ho sakti hai, isi liye woh TRS hukoomt saazi se rokney ke liye deegar parties ke sath intekhabi mafahmat karna chahti hai. Ab deikhna yeh hai ke BJP, TJS ke sath mafahmat ke liye amaada hoti hai ya nahi aur hoti hai to woh kitni nashiston ki peshkash karti hai.