Sunday, May 19, 2024
HomeSliderPrivate Hospitals ki bhaari Bills, High Court ki barhami

Private Hospitals ki bhaari Bills, High Court ki barhami

Hyderabad: Telangana High Court ne ek martaba phir shehar ke 2 private Hospitals par barhami ka izhaar kiya jinhon ne Covid-19 ke mareezon ke ilaaj ke liye zayed Bills wusool kiye thay. Adalat ne budh ko muazzif mulazim O.M. Goud ki janib se 2 sarkardah private Hospitals ke khilaaf daakhil kardah arzi ki samaat ki jis mein ilzaam lagaya gaya hai ke ye hospital Covid-19 ke mareezon ke ilaaj ke liye zayed raqam wusool kar rahay hain.

Arzi guzar ne ye bhi ilzaam lagaya ke zayed bills ke zareya ye hospital hukoomat ke qawaid aur sharait ki khilaaf warzi kar rahay hain. Unhoun ne nishandahi ki ke reyasti hukoomat ne Subsidy par kayi Hospitals ko arazi allot ki thi jis mein ye shart rakhi gayi thi ke ghareeb mareezon ka muft ilaaj kiya jaye taham ye hospital ghareeb mareezon ka muft ilaaj nahi kar rahay hain. Is marhala par adalat ne hukoomat se sawal kiya ke agar ye hospital sharait ki khilaaf warzi kar rahay hain to un ko di gayi arazyat wapas kyun nahi li jati? Adalat ne herat ka izhaar kiya ke ye hospital, Bills ki adaigi taq laashon ko bhi hawalay karne se inkaar kar rahay hain.

Adalat ne hukoomat ko hidayat di ke wo un private Hospitals ke khilaaf sakht karwai kere jo zayed bills wusool kar rahay hain. Bench ne Remarks kiya ke un Hospitals ke licence ko mansookh karna ya un ko di gayi arazyat wapas lena kaafi nahi hoga. Adalat ne un Hospitals se wazahat talabb bhi ki hai.