Tuesday, April 30, 2024
HomeHyderabadPraveen Togadia ki Chalo Ayodhya rally

Praveen Togadia ki Chalo Ayodhya rally

BJP par Mandir taameer karne ke wada ko faramosh kardainay ka ilzaam. Chief Minister Telangana ki satayish. Hyderabad mein Hindu mehfooz nahi. Ayodhya mein Ram Mandir ki taameer ke liye Parliament mein qanoon Manzoor kiya jaye.

 

Hyderabad. Ayodhya mein Babri Masjid ki jagah par Ram Mandir taameer karne ke apne wada ko wafa na karne ka Bharatiya Janata Party par ilzaam aayed karte huwe Antararashriya Hindu Parishad (AHP) ke Sadar Praveen Togadia ney aaj kaha ke Mandir ki taameer ka mutaleba karte huwe 21st  October ko Lucknow taa Ayodhya ‘Chalo Ayodhya’ Rally nikaali jaye gi. Yahan akhbaari numayindon se baat cheet karte huwe Praveen Togadia ney kaha ke BJP hukoomat ney Ayodhya mein Ram Mandir ki taameer ke apne wada ko faramosh kardiya hai, is liye AHP ney faisla kiya hai ke hukoomat ki janib se Mandir ki taameer mein takheer ke khilaaf bator ehtejaj 21st October ko ‘Chalo Ayodhya’ Really munazzam ki jaye. Unhon ne kaha ke BJP ney Talaq e salasa par imtena ke liye Parliament mein qanoon paish kiya hai magar Ram Mandir ki taameer ke liye koi iqdaam nahi kiya. Praveen Bhai Togadia jinhon ne Vishwa Hindu Parishad se kinara kashi ikhtiyar karte huwe Anatarashtriya Hindu Parishad ke naam se aik nai tanzeem qaayim ki hai phir se sargaram dikhayi dey rahay hain. Unhon ney kaha ke agar Hukumat is masla par ahadband hai to usay chahiye ke Parliament mein aik qanoon manzoor karte huwe Mandir ki taameer kare. Unhon ney kaha ke BJP ko yeh wazeh karna hoga ke aaya woh Hindon ki taayeed chahti hai ya nahi. Unhon ney kaha ke BJP, Hindon par inhisaar karti hai aur Hindu, BJP par inhisaar nahi karte. Unhon ney yeh bhi ilzaam aayed kiya ke BJP hukoomat ghair qanooni Bangladeshiyon ko Mulk se nikaal bahar karne mein nakaam rahi hai. AHP leader ney kaha ke Telangana Chief Minister Mr. K Chandrashekar Rao kisanon ke liye achha kaam kar rahay hain aur un jaisa kaam Mulk ki kisi riyasat mein nahi ho raha hai taham ilzaam aayed kiya ke Bhagyanagar (Hyderabad) mein Hindu mehfooz nahi hain.