Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaPratapgarh halqay ke Musalmanoon ke samnay koi behtar qhayed nahi

Pratapgarh halqay ke Musalmanoon ke samnay koi behtar qhayed nahi

Pratapgarh: Uttar Pradesh ke Pratapgarh Parlimani halqay ke intekhab ke liye maidan mein khusoosi o azad sameit jumla 8 umeedwaar hain aur yahian 2014 ke intekhabaat mein BJP vo apna dal ittehaad se apna dal umeedwaar Harbanj Singh Modi  lehar ka bhar poor faida utha kar kamiyaab huwe they. Un ke qareebi hareef BSP ke uneedwar Asif Nizaam Uddin Siddiqui dosray Congress Teesray o Samaj Wadi Party Chouthay maqam par thi. Guzashta intekhab mein Samaaj Wadi Party o BSP ke beshtar vote BJP ke khatah mein gaye they. Is martaba Secular Partiyon khusoosi tor se Samaj Waadi Party, BSP o Lok Dal ittehaad se BSP ke zareya dalit pasmandah o Muslim ke bar aks birhaman tabqay ko ticket diye jaaney se Muslim raye dahindgaan khamosh aur tazabzub mein hain ke Secular Partiyon mein koi umeedwaar behtar Shabeeh ka nah honay ke sabab woh kis ko vote den?

Paratagarh Parlimani nisht se khusoosi tor se ittehaad se BSP umeedwaar Ashok Tirpathi, Congress se Rajkumari Ratna Singh, Jan Satta Dal se Akshey Pratap Singh Gopal G o BJP se Sangam Laal Gupta sameit 8 umeedwaar maidan mein hain jis mein Congress ki Ratna Singh is nisht par teen martaba o Akshey Pratap Gopal G Samaj Wadi Party se aik martaba rukan parliment reh chuke hain. Akshey Pratap Singh Gopal G is martaba Raja Bhaiya ki Party Jan Satta Dal ke umeedwaar hain.

2014 ke parlimani intekhab ke adaad o shumaar ke bamoujib BJP apna dal se ittehaad se Apnadal umeedwaar Haribanj Singh 375789. BSP Asif Nizaam Uddin Siddiqui 207567, Samaj Wadi Party Pramod Patel 120107, Congress Ratna Singh ko 138620 Vote mousool huwe they. 2009 ke intekhab mein Samaj Wadi Party se Akshey Partap Singh ko 121252, Congress ki Ratna Singh ko 169137, BJP Laxmi Narayana Pande ko 45575, BSP se Shiva Kanth Ahuja ko 139358 aur Apna Dal se Ateeq Ahmed ko 108211 vote mousool huwe they jabkay 2019 ke parlimani intekhab mein zila se Raja Bhaiya Party Janta Dal ke anay se Thakur tabqay ke beshtar raye dahindgaan Raja ke sath khil kar aagaye hain.

Ittehaad se birhaman umeedwaar Ashok Tirpathi ko BSP ka ticket milnay ke baad bunyadi raye dahindgaan mein mauzo behas hai ke apna vote day kar hum phir apne oopar azaab kaisay musallat karen jabkay birhaman tabqay ke 90 feesad raye dahindgaan BJP ke sath hain. Un halaat mein awam ka khayaal hai ke Birhaman ke do teen feesad vote inhen haasil ho satke hain. 2014 ke intekhab mein Muslim raye dahindgoon  ney ittehaad ka muzahira karte huwe Asif Nizaam Uddin Siddiqui ki himayat ki thi. Inhen musalmanoon ke khalis aik lakh 80 hazaar vote mousool huwe they bakhi 27 hazaar vote BSP ke bunyadi vote they. BSP umeedwaar Ashok Tirpathi ko khush fehmi hai ke muslim o dalIt unko chhodh kar jaaney wala nahi hai jabkay muslim raye dahindgaan mein unki achi Shabeeh nah honay ke sabab awam ka khayaal hai ke inhen himayat karna BJP ko vote dainay ke masawi hai. Samaj Wadi Party ke 2009 ke intekhab ke baad 2014 mein vote ghutay hain. BSP ko 2009 aur 2014 ke intekhab mein musalmanoon ki himayat se graph barha zaroor hai is ke bar aks 2019 ke intekhab mein BSP ko taqreeban do teen feesad birhamanon ki himayat haasil ho sakti hai. Muslim raye dahindgaan is waqt khamosh o tazabzub mein hain ke woh apna vote kis ko den? jabkay yeh bhi guftagu hai ke BJP ke samnay jo mazboot umeedwaar ho ga muslim raye dahindgaan is ki himayat kar satke hain.