Monday, May 20, 2024
HomeIndiaPragya Singh Thakur , wizarat difaa ki parliamani Mushawarti Committee ke liye...

Pragya Singh Thakur , wizarat difaa ki parliamani Mushawarti Committee ke liye naamzad

New Dehli: Malegaon dhamakay ki mulzim aur Bhopal se rukan-e-Log Sabha Pragya Singh Thakur ko wizarat-e-difaa ki Parliamani mushawarti Committee may naamzad kiya gaya hai, jis ke baad tanaza khada hogaya hai. 21 rukni Parliamani mushawarti Committee ki sarbarahi margaz-e-wazeer difa Rajnath Singh kar rahay hain.

2008 may Malegaon dhamakay ki mulzim Pragya Singh Thakur zamanat par bahar hain, aur Thakur ki kharab sahet ko mad-e-nazar rakhtay hue zamanat di gayi hai. hukoomat ke is faislay par Congress ne tanqeed karte hue ” ise mulk ki fouj ki tuheen“ qarar diya hai, Congress ne jumaraat ko Twit karte hue likha, dehshat gardhi maamloun ki mulzim aur Godse se ki dewaani, Pragya Singh Thakur ko BJP hukoomat ne Parliamani mushawarti Committee baraye difai Committee may shaamil kiya hai. ye hamaray mulk ki fouj, hamaray mulk ke mumtaz parlimntrin aur har Hindustani ki tauheen hai.

Pragya Singh Thakur pehli baar rukan Parliament bani hain aur Madhya Pradesh ke Bhopal se muntakhib huien. Thakur ne Log Sabha intikhabaat may Congress ke tajurbekar rehnuma Digvjaya Singh ko shikast di. Pragya Singh Thakur 2 bade tanazuath ki wajah se khabroun may rahen, ek ye ke, July mai unhoun ne Party kaarkunon ko bataya ke wo naalay saaf karne ke liye muntakhib nahi hove hain“. sath hi Thakur ne Nathuram Godse ko Muhib-e-watan kaha tha.

31 October ke Notification ke mutabiq 21, rukni maz korh mushawarti Committee may Opposition ke rehnuma Farooq Abdullah , TMC ke Saugata Roy, DMK ke A Raja waghera shaamil hain. Lok Sabha intikhabaat se qabal Thakur ne mutadid mawaqay par apne Remarks se tanaza khada kiya tha. wo is waqt ek tanaza may aa gayeen, jab unhoun ne Mahatma Gandhi ke qaatil Nathoram Godse ko Muhib-e-watan kaha tha. is bayan ke liye BJP ne Pragya Thakur ko show cause Notice jari kiya tha. –YTN STAFF