Wednesday, May 15, 2024
HomeLatest NewsPolling Booth Par Phone Lejane Aur selfie Lenay Waloun Ke Khilaaf...

Polling Booth Par Phone Lejane Aur selfie Lenay Waloun Ke Khilaaf Sakht Karwai Ka Intibah

Hyderabad:  Hindustan mein parlimani intikhabaat ke liye riyasate  Telangana mein kal pehlay marhalay ke tehat raye dahi hogi aur iske liye tamam tar tayyariyan mukammal kar li gayi hain. 11th  April ki subah se hi raye dahi ka aaghaz hojaye ga. raye dahi ke mauqa par Election Commission aur mehakma police neh awam ke liye rehnumaiyana usool faraham kiye hain jaissa ke assembly intikhabaat ke douran dekha gaya ke kuch noujawan apna vote daaltay waqt selfie le kar social media par post kiya tha jis par karwai bhi ki gayi thi. alawa azeen is martaba aisay waqeat se sakhti se nimatnay ke liye police neh intizamaa kiye hain jaissa ke tamam polling stations par CCTV camera nasb kar diye gaye hain .

Hyderabad police neh raye dahi se istifada karne walay afraad ko sakhti se intibah diya hai ke woh aisi harkat se baz rahen kyunkay hyderabad ke polling stations par 3,700 CCTV camera nasb gaye hain aur har camera 360 zawiye se nighdasht karne ki qabliyat rakhta hai. har camera ko central control center se marboot kardiya gaya hai jis se jis kisi bhi polling station par mobile phone le jaany ya is se tasweer kashi karne ki koshish ki jaye to iska ba aasani pata chalne ke baad aisay afraad ke khilaaf sakht karwai bhi ki jaye gi aur jail ki saza ke alawa bhaari jurmana bhi aed kya ja sakta hai .

Raye dahi se istifada ke liye mukhtalif maqamat par rehne walay kayi afraad hyderabad se apne aabadi maqam ki taraf rawana ho chuke hain yahi wajah hai ke mangal aur chaharshambe ko railway station aur bas stations ke alawa khangi buses mein bhi subah se hi awam ka hujhoom dekha gaya hai. media numainday se izhaar khayaal karte hue secunderabad se Vijaywada jaane walay ek musafir M Basha neh kaha ke woh raye dahi se do din qabal rail ka ticket book karwatay hue apne aabadi maqam Vijaywada  ko rawana honay ke mansoobay ko zaheen mansoobah tasawwur kar rahay they lekin jab woh subah railway station puhanche to hujhoom ka asdhaam dekh kar heran ho gaye kyun kay woh samajh rahay they ke do din pehlay aabadi maqam rawana hona ek behtar aur zaheen faisla hoga lekin aisa faisla karne walay afraad ki tadaad hazaron mein hai. Telangana mein pehlay marhalay ki raye dahi kal hogi aur 23 May ko Hindustan bhar ke intikhabaat ke nataij samnay ajayenge .- YTN STAFF