Friday, May 10, 2024
HomeHyderabadPolice ne Media numaindoun ko bhi nahi bakhsha, Bad kalami ke alawa...

Police ne Media numaindoun ko bhi nahi bakhsha, Bad kalami ke alawa gadiyoun ko nishana banaya gaya

Hyderabad: Police laakh koshish hi kyun na karle wo awaami dost nahi ban sakti kyunkay Coronavirus ki wajah se jahan saari duniya mein lockdown kiya ja raha hai aur Hindustan mein bhi Lockdown jari hai. Lockdown ke douran Telangana ke Chief Minister KCR ne awam ko khush karne walay tamam elanaat to kardiye lekin haqeeqat mein halaat awam ke liye kaafi mushkil tareen hain kyunkay ek janib Lockdown ki wajah se tarkariyoun aur zurori ashya ki qemiten aasman se batein karra hai hain to doosri Police ka rawayya jabirana hochuka hai.

Aam aadmi ke sath Police ka jo rawayya hai is ki Videos Social Media par gasht kar rahi hain jahan Police awam ko lathioun se pait rahi hai jabkay Media numaindoun ko bhi nahi bakhsha gaya aur khaas kar peer ki raat jab achanak Lockdown elaan aur shaam 7 bajey se sakht iqdamaat ka elaan huva to un Media numaindoun ko pareshani uthani padi jo ke mulazimat anjaam day kar ghar lout rahay they.

Lockdown se halaank Media baradri ko mustashna rakha gaya tha lekin Begumpet Police ki janib se Begumpet High School ke paas jis terhan Lockdown kiya gaya usay dekh kar aisa mehsoos ho raha tha jaissa ke shehar mein koi dehshat gard daakhil hogaye hon aur shehar ko sangeen soorat e haal ka saamna hai aur kisi bhi waqt koi bada haadsa runuma hojaye ga. Media numaindoun jin mein khawateen bhi shaamil then unhoun ne apne shanakhti Cards par dekha aur kaha ke wo apne ghar lout rahay hain jis ke bawajood bhi inhen raahat nahi di gayi balkay Police ohdedaroun ne chand ek se bad kalami bhi ki.

 Duty ke auqaat ke baad ghar wapas anay walay Media numaindoun ke saat ye intahi andohnak waqea Begumpet puranay Flyover ke ekhtataam par pesh aaya. Rozana Ma Hindu ke Chief of Bureau ( Telangana ) Ravi Reddy ko sahafi ke tor par shanakht karne ke baad bhi Begumpet Police Station ke 2 Sub Inspector aur 3 Constable ne un ke sath bud sulooki ki aur un par hamla kiya. Reddy Duty ke baad apne ghar jarahay they, Jab ye waqea taqreeban 10.15 bajey pesh aaya. Jab ke is qabal hi kayi ek akhbarat ke sahafioun ko aisay hi waqeat ka saamna karna pada.

Is muamlay ko DGP M Mahender Reddy, Hyderabad Commissioner of Police Anjani Kumar, DCP ( Shumali ) Kalmeshwar Shingenavar aur deegar ohdedaroun ke Notice mein laya gaya, Jinhoun ne Mr. Reddy se baat ki aur waqeye ke barey mein daryaft kiya. Itwaar ki raat jari kardah Government order number 45 ke mutabiq, Telangana mein Coronavirus ke phelao par qaboo panay ke liye Lockdown ke douran Print aur Electronic Media ko laazmi khidmaat ke tor par mustashni kiya gaya hai.

Jis ke bawajood ek khatoon sameit kam az kam darjan sahafioun ko Police rukavatoun ko uboor karne mein dushwarioun ke alawa rastay badal badal kar ek taweel safar karna pada. Media ke amlah Police ke paas gaya, Apne shanakhti Card dekhaye aur darkhwast ki ke wo zurori khidmaat ka hissa honay ki wajah se inhen jane ki ijazat di jaye. Darkhwastoun ka koi nateeja bar-aamad nahi huva aur Police hujhoom ke sath lathioun ka sahafioun par bhi istemaal kar daala. Yahan tak ke police waloun ne sahafioun ki gadiyoun par bhi apna gussa nikala.

Laathi Charge aur zabani zayad-ti aur deegar rukavatoun ke darmain, Media numaindoun ne mehakma Police ke alla ohdedaroun ko reyasti hukoomat ke zareya diye gaye Media ko chhuut ki khilaaf warzi ke barey mein aagah kiya. Ye waqea Lockdown ke pehlay din pesh aaya, Jis se herat hoti hai ke anay walay dinoun mein Police kis terhan bartao kere gi. Police ke zareya elania tor par jabar ke aisay hi waqeat Hyderabad, Cyberabad aur Rachakunda ke tenu Commissionerate ke mukhtalif akhbarat aur Channels ke sahafioun ke sath pesh aeye. –YTN STAFF