Wednesday, April 24, 2024
HomeExclusivePolice ki la parwahi Bangaluru mein badaamni ka sabab hai

Police ki la parwahi Bangaluru mein badaamni ka sabab hai

Bangaluru: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ke reyasti general secretary Abdul Hannan ne press conference se baat karte hue kaha ke kal Bangluru police ki la parwahi DJ Halli mein honay wali police Firing aur tauheen mazhab Islam aur badamni ke ilzaam mein 1 shakhs ko pakadney mein police ki nakami ki party shadeed muzammat karti hai. Abdul Hannan ny mazeed bata ya ke congress ke muqami MLA AkhandaSrinivasa Murthy ka bhatija P.Naveen kuch arsay se Musalmanon ki be hurmati karte hue samaji Websites par post daal raha tha aur paighambar? ki tauheen aamaiz tasaveer aur mazameen shaye kiya tha.

Is ke mutaliq jab Bangaluru DJ Halli ke police station mein shikayat darj karne aur Naveen ko giraftar karne ka mutalba kiya gaya to police Afsar aur ACP ney 2 ghantay intezaar karne ke liye kaha, Is ki wajah se pehlay hi mushtael hujhoom station par jama hogaya aur tanao ka mahol peda hogaya. Abdul Hannan ney is baat par tabsarah karte hue kaha ke agar police afsaraan ney zimma daari se kaam liya hota to is waqeye se bacha ja sakta tha. Isi terhan awaami gham-o-gussa bidamney mein tabdeel honay par bhi SDPI shadeed afsos zahir karti hai. Is se qabal Asif nami nojawan ke MLA AkhandaSrinivasa ke baaray mein samaji Website par tabsarah karne par Banagluru police shikayat darj karne ke sirf 10 minute mein hukkaam ne inhen giraftar karliya tha.

Lekin yahan par muqami baradri mushtael honay ke bawajood police ke imtiazi sulooq aur la parwahi ki wajah se ye sorat-e-haal peda hui hai. Ye intahi qabil muzammat hai ke muzahireen ke seenay par police ki firing ke baad 3 qeemti jaanen qurbaan hogayi hain. Abdul Hannan ney is baat ka iada kiya ke police ke kuch aisay afsaraan jo logon ke jazbaat par majrooh karne walay mujrimon ke khilaaf karwai karne mein hichkichatay hain unhi afsaraan ki wajah se aisi nagawaar sorat-e-haal peda hui hai . Badamni ki sorat-e-haal mein logon ko pursukoon karne ke liye muqami police aur muqami ulama ke sath taawun karne walay SDPI ke muqami rehnumao ki giraftari aur is waqea ki zimma daari un ke sir daalnay ki police karwai bhi qabil muzammat hai. Is se police afsaraan ki ahliat, Dayanat aur ikhlaqiaat par sawal uthta hai.

Abdul Hannan ney is baat ki taraf khusoosi nishandahi karte hue kaha ke SDPI ke un rehnumao aur kaarkunon ke hauslay aur aetmaad ko todna mumkin nahi hai jo muashray mein hamesha insaaf, Dayanat aur taraqqi ke liye koshan hain. SDPI ka mutalba hai ke gunah gaar Naveen aur is ki himayat karne walon par tauheen risalat, Muashray mein nafrat angaiz juraim, Fasadaat ko bhadkanay, wagera ke daf-aat lagayen jayen aur la parwahi baratnay walay police afsaraan ko moattal karkay un se tafteesh ki jani chahiye. Hirasat mein liye gaye masoomon ko fori tor par raha karkay asal mujrimon ko police giraftar kere. Abdul Hannan ne mutnabba kiya ke SDPI police firing mein honay wali amwaat ke mutasireen ke liye fori imdaad ka mutalba karti hai.