Tuesday, May 7, 2024
HomeHyderabadPolice ki janib se Gadiyon ki Checking mein izafah, Awam ko ahtihyat...

Police ki janib se Gadiyon ki Checking mein izafah, Awam ko ahtihyat baratney ka mahswara

Hyderabad: Election Commission ki janib se Hindustan mein aam intekhabaat ka elaan kardiya gaya hai jis ke baad jahan aik janib Siyasi Jamaten apni kamyabi ke liye aydee chouti ka zor laga rahi hain to doosri janib mehkame Police dono shehron Hyderabad aur Secunderabad mein Law and Order ki barkaari ke liye iqdamaat kar raha hai. Intekhabaat mein kisi bhi qisam ki badunwaniyon ki rok thaam ney ke liye ab shehar ke ahem maqamat aur khaas kar ke hassas maqamat par Police ki Checking badadi gayi hai.

Aik Janib mehakma Police aur Police ohdedar apni Duty anjaam dey rahay hain to doosri janib awam ke liye bhi zurori hai ke woh aisay halaat mein ahtiyati tadabeer ikhtiyar karen taakay inhen Police ki beja hirasani aur qanooni pichidgiyon ka saamna nah karna pade. Dono shehron mein dekha gaya hai ke jagah jagah ab Police ki Checking ho rahi hai aur anay walay dinon mein is Checking mein mazeed izafay ka imkaan bhi hai, Lehaza zarori hai ke awam bhi nah sirf apni hifazat ke liye khud hi iqdamaat karen balkay Police ke sath bhi taawun karen.

Aam tor par dekha jata hai aam dinon mein Gadiyon ke dastawizaat sath rakhney ya Helmet pahanney mein kisi qisam ka tsahl badta jata hai lekin ab chunkay Hindustan bhar mein intekhabaat ka mahol garam hochuka hai aur Hyderabad mein jagah jagah Police ki janib se Checking ki ja rahi hai to behtar hai ke awam apni Gaadi ke dastawizaat nah sirf sath rakhen balkay kisi dastaweez ki tajdeed (Renewal) karwani ho to woh bhi karwa le kyunkay baghair Licence ya kisi aur dastawizaat ke baghair Gadi chalaney ki wajah se khadsha hai ke aap ko Police walon aur qanooni karwai ka saamna ho sakta hai.

Walidain ko bhi chahiye ke woh apne bachon ko Gadi dete waqt is baat ki ahtihyat karen ke woh baghair Licence aur Helmet ke sadkon par Gadi nah chalayein aur jahan tak mumkin ho sakay chhootey bachon ko Gadi dainey se ahtihyat karen. Gadi chalaney walon ke liye yeh bhi mahswara diya gaya hai ke woh apne dastawizaat ki jaanch karlen aur agar kisi kaghaz ki tajdeed ya tabdeeli zurori hai to woh foran karwalin taakay kisi chalaan ya qanooni paicheedgi ka saamna karna nah pade. Sab se ahem ahtihyat yeh bhi zurori hai ke Gadiyon mein had se ziyada naqad roqomat nah rakhen aur tijarti aitbaar se bhadi raqam sath rakhna nah Guzir hoto is ki qanooni hesiyat aur musallama dastawizaat sath rakhen, Chunkay intekhabaat ke douran note ke badlay vote ka rujhan paaya jata hai jis ke liye Siyasi Jamaaton ki janib se doulat lootai jati hai. Police ki is martaba Gadiyon ke zareya naqad roqomat ki muntaqili par ziyada tavajju markooz hochuki hai.

Mahekama Police ki janib se phelay hi yeh hadaayat di jachki hai ke mojooda halaat mein jahan tak mumkin ho sakay ahtihyat se kaam le aur khaas kar deed raat gaye baghair kisi zurori kaam ke hassas maqamat par nah ghumain aur Gadiyaan bilkul bhi nah chalayein kyunkay ibtidayi dinon mein Police Checking raton mein hi ziyada ki jarahi hai jaissa ke Hyderabad ke kayi ahem ilaqon aur ahem chodahon par Police ki janib se Gadiyon ki checking mein izafah kardiya gaya hai.

 

 

 

Y THIS NEWS STAFF