Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaPolice ki janib se, CAA ke khilaaf ehtijaj kar rahay khatoon muzahireen...

Police ki janib se, CAA ke khilaaf ehtijaj kar rahay khatoon muzahireen ke kambal cheeney ka waqea

Lucknow : Lucknow ke clock tower mein shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ke khilaaf ehtijaj kar rahay khatoon muzahireen ke kambal aur khana, cheennay par social media per viral honay aur awam ka gham wo ghussa dekhnay ke baad police ney un ilzamaat ki tardeed ki, aur kaha ke kambal baghair kisi karwai ke zabt kiye gaye they.

Itwaar ke roz ek bayan mein Lucknow police ney un ilzamaat ko mustard karte hue kaha ”Lucknow ke kalla k tower par ghair qanooni ehtijaj ke douran kuch logon ney khaimay khada karne ki koshish ki aur inhen iski ijazat denay se inkaar kiya gaya. kuch group park mein kambal taqseem kar rahay they, aur kayi log jo muzahiron ka hissa bhi nahi they, kambal lenay ke liye aaye they. hamein wahan se se hujhoom ko hatana tha. aur taye shuda tareeqa car ke baad kambal zabt kar liye gaye.

Mobile Phone par rerecording kiye jane walay manazair mein, police ahelkaar hafta ki raat ehtajaji maqam se kambalon aur khanay ki packet ko uthatay hue dekha ja sakta hai. aur police ahelkaar, jin mein se kuch Helmat pehnay hue they, inhen stireyo form ki chadrin bhi chentay hoye dekha gaye.

Is ke alawa video mein dekhaya gaya hai ke’ ek khatoon guard kuch police ehalkaron ke peechay bhaagti hui dikhayi deti hai, aur un par chikhti hai aur poochti hai ke ”aap kambal kyun le rahay hain. .? “. Ek sikh shakhs ney kaha ”Kuch police walon ney hamein roknay ki koshish ki, lekin dosaron ney hamein wahan se muntaqil kar diya.

wazeh ho ke, 50 se zayed khawateen ney dharna munazzam kiya, is dharna mein khawateen, bachay aur buzurug shehri ehtijaj mein shaamil hue. aur kayi tanzeemon ney is ehtijaj ki himayat ki. is ehtijaj mein kayi khawateen apne chhootay bachon ke sath shaamil theen. hafta ki der raat police ki janib se pabandi ke hukum ke nifaz ke baad Lucknow mein badi taqrebaat par pabandi aaed kardi gayi hai. aur is ilaqay mein 144 nafiz kiya gaya hai. –YTN STAFF