Tuesday, May 21, 2024
HomeIndiaPolice ki bar bariat ko rokain ya istifa den, America mein zair...

Police ki bar bariat ko rokain ya istifa den, America mein zair taleem talba ka Amit Shah se mutalba

Mukhtalif Americi universition mein zair taleem 400 Hindustani talba ne Jamia Millia Islamia aur Aligarh muslim university ke talba ke khilaaf police ke wehshiana tashadud ki muzammat karte hue, Is harkat ko ”Ensani haqooq ki sangeen khilaaf qelaaf warzi qarar diya hai. Unhoun ne markazi wazeer-e-dakhla Amit Shah se mutalba kiya ke wo fori tour par police ki bar bariat ko rokain ya istifa de.

Mangal ko jari kiye gaye talba aur sabiq talba ke dastkhtoun aur Universition ke naamon par mushtamil ek tafseeli bayan mein, Unhoun ne dono hindustani universition ke shehriat tarmeemi act ke khilaaf ”pur aman tareeqay se “ Ehtijaj karne walay talba ke sath mukammal yakjahti ka izhaar kiya hai jis, Unhoun ne ghair aaeni aur imtiazi sulook qaraar diya.

Bayan mein kaha gaya hai ke ”Ye zahir hota hai ke police aur nami fouji dastoun, Dono ne Jamia aur AMU mein, Hindustan ke aeen aur insani haqooq ke bai- ul-aqwami qanoon ke tehat tahaffuzaat ki khilaaf warzi karte hue talba muzahireen ke khilaaf tashadud aur ghair qanooni aur laapar waahi ke hathkandoun par amal pera hai.

Unhoun ne university ke ihatay mein police aur nami fouji dastoun ke dakhlay, Compus ke andar andha dhund hamloun, Libraries mein ansoo Gas ke golay dale jaanen aur shehrioun talba ke khilaaf taaqat ke wehshiana istemaal ko qanoon ki khilaaf warzi qarar diya.

Is haqeeqat ki roshni mein mazeed dekha gaya ke is zulm-o-bar barriat ka nishana ban’nay walay ziyada tar musalman they. Hindustani talba ne Assam mein muzahireen ke khilaaf honay walay tashadud ki muzammat ki, Jahan police ki goli se 2 na baligh ladkoo sameit 5 afraad ki mout hui hai. chief justice of India ki janib se muzahiroun ko ”Fasadaat qarar dainay walay bayan par tashweesh ka izhaar kiya.

Bayan mein police ke zareya tashadud ko fori khatam karne aur Delhi police, Uttar Pradesh police aur CRPF ke ikhtiyarat ke najaaiz istemaal ki fori tafteesh ka mutalba kiya gaya hai. Unhoun ne talba muzahireen se mutalba kiya ke wo par aman andaaz mein apne haqooq ke liye ehtijaj jari rakhen.

Bayan jari karne walay talba mukhtalif universition se talluq rakhtay hain,  Harvard University, Columbia University, Yale University, New York University, Stanford University, University of Michigan, University of Chicago, Brown University, Georgetown University, University of Pennsylvania, Tufts University, Johns Hopkins University, Cornell University, Massachusetts Institute of Technology, University of California, Berkeley Purdue University, Carnegie Mellon University, University of Southern California, and University of Illinois. Shamil hai. – YTN STAFF