Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaPolice ke khilaaf Jamia muqadma darj karaye gi: Vice Chancellor

Police ke khilaaf Jamia muqadma darj karaye gi: Vice Chancellor

New Delhi: Jamia Millia Islamia ki Vice chancellor professor Najma Akhtar ne kaha ke itwaar ki raat ko police ne Campus mein ghos kar talba ke sath marpeet aur awaami amlaak ko nuqsaan pohanchaya wo is silsilay mein police ke khilaaf muqadma darj karayengi. Professor Akhtar ne media se baat cheet mein kaha ke wo insani huqooq ke wazeer se is waqea ki alla sathi tehqiqaat ka mutalba karengi. Unhoun ne kaha ke Jamia intizamia se baghair ijazat ke police zabardasti Campus mein ghusi hai jisay hum bardasht nahi karenge.

Unhoun ne kaha ke social media mein ek afwaah phailai jarahi hai ek bachay ki mout hogayi hai jo sara sar be bunyaad hai. Unhoun ne kaha ke itwaar ke waqea mein taqreeban 200 afraad zakhmi hue hain jin mein badi tadaad mein Jamia ke talba hain. Jamia ke jo talba zakhmi hue hain un mein ziyada tar bachay library mein padhai kar rahay they. Professor Akhtar ne media se appeal ki ke wo aas paas ke waqeat ko Jamia se jodkar na dekhe aur na hi is ki nashriyat karen kyunke is se university ki shabeeh kharab hoti hai.

Vice chancellor ne kaha dharna, Muzahiray ka elaan itwar ko talba ne nahi kiya tha balke aas paas ke rehaishi ilaaqoun ke logoun ne kia tha. Vice chancellor ke mutabiq ye loog jab rally nikaal rahay they to Julena mein police ke sath unki jhadap hui tab police ne un ke peecha kiya aur peecha karte hue university aur library mein ghos gayi aur marpeet aur toad phode shuru kardi.

Jamia ke Maulana Abdul Kalam Azad gate par police ki karwai aur shehriat tarmeemi qanoon ke khilaaf loog muzahira kar rahay hain. Wahein kuch talba hostel khaali karke apne apne gharoun ke liye nikal gay. Ghar jane wali ek taliba ne kaha ke itwaar ki raat police ne hostel mein jis terhan ki karwayee ki hai is se hum loog dehshat mein hain aur hamaray ghar walay jald az jald wapas bulaa rahay hain. Ek deegar taliba ne kaha ke itwaar ki raat ka waqea be had khofnaak tha. Police talba ke sath mujrimoun ki terhan pesh aayi. Police ne talba ko gandi gandi gaaliyan de.

Doosri simat talba par police ki karwai ke khilaaf senkdonu ki tadaad mein teacher aur talba insani zanjeer banakar muzahira kar rahay hain. Wazeh rahay ke Jamia Millia Islamia mein police ke zareya zabardasti ghos kar mobayyana tor par talba ke sath marpeet karne ke khilaaf Jamia, Javaharlaal Nehru Delhi university ke senkdoun talba ne itwaar ko nai Delhi mein waqay police headquarters ke samnay muzahira kiya. Police headquarters ke samnay muzahiray mein kayi teacher bhi shaamil they.

Zaraye ne kaha ke Jamia mein police ki karwai aur ansoo gas ke dhuwen se dam ghatney ki wajah se ek taalib ilm ki mout hogayi hai. Halaank police ne kisi ki mout se inkaar kiya hai. Janoobi Delhi ke police commissioner ne kaha ke police ne koi firing nahi ki hai.

Is douran congress ne ilzaam lagaya hai ke Jamia Millia Islamia ne university Campus mein ghos kar be-qusoor talba par zulm kiya hai aur is muamlay ki tahaqeeq honi chahiye. Party ne ilzaam lagaya ke baar baar universition ko siyasat ka akhada banaya ja raha hai. Hyderabad, Allahabad, Jawaharlal Nehru university ( JNU ) ke baad Jamia Millia  Islamia university ko nishana banaya gaya hai.

Rajya sabha mein oppostion ke leader Ghulam Nabi Azad ne bhi police karwai ki muzammat ki hai. Unhoun ne kaha ke police Vice chancellor ki ijazat ke baghair Jamia mein daakhil hogayi. University intizamia ki ijazat ke baghair police taleemi idaroun mein daakhil nahi hosakti. Is liye is muamlay mein police khud qusurvaar hai. Unhoun ne parliament se appeal ki thi ke shehriat tarmeemi qanoon hukoomat nah laaye. Isse halaat mutanazia hojaenge aur yahi ho raha hai. –YTN STAFF