Saturday, May 11, 2024
HomeIndiaPolice Commissioner ki la-parwahi, Delhi fasaad ki wajah: Report

Police Commissioner ki la-parwahi, Delhi fasaad ki wajah: Report

New Delhi: Delhi fasadaat ne kayi ghar uchade aur aaye din is ki wajohaat aur zimma daar afraad ki tafseelaat samnay aa rahi hai aur ab nai tehqeeq mein Delhi Police Commissioner ki la parwahi ko zimma daar tehraya gaya hai. Mulk ke sabiq Senior ohdedaroun ne sadar jamhooria ko Delhi fasadaat par ek Fact Finding Group ki Report rawana ki hai jis mein unhoun ne Delhi mein huve fasadaat, Wajohaat aur agaye aisa na ho is ke liye sefareshat ka tafseeli zikar hai. Is Group ne apni sifarshaat mein thereer kiya hai ke agar Police commissioner pehlay din laparwai nahi baratte to itnay baday nuqsaan ko kum kiya ja sakta tha. Wazeh rahay Delhi mein tashadud aur is ke baad, Fact Finding Mission ki janib se ek tafseeli Report pesh ki gayi.

Delhi police responscible for Delhi riot

Sabiq sarkari ohdedaroun par mushtamil ayeni tarz amal Froup (Constitutional Conduct Group ) ( CCG ) ke arkaan ne shumal mashriqi Delhi mein huve haliya fasadaat se mutaliq ek Report pesh ki hai jis mein kaha gaya hai ke Delhi ke kuch ilaaqoun mein tashadud 23 Feb 2020 se le kar 26 Feb tak jari raha. CCG ke 11 arkaan ne Shive Vihar, Brij Puri aur Mustafaabad sameit shumal mashriqi Delhi ke mutasirah ilaaqoun ka dora kiya. Gayarah arkaan par mushtamil is Group ne apni Report mein thereer kiya hai ke ye takleef da hai ke tashdud ke 2 haftoun se bhi ziyada waqt ke baad is Group ko siyasi jamaatoun ki janib se tashadud se mutasirah logoun ko zehni ya jismani madad faraham karne ke liye kisi bhi qisam ki sanjeeda rasai ke ziyada saboot nahi miley. Is Report mein mazeed thereer kiya gaya hai ke samaaj ke mukhtalif tabqoun ke mabain aetemaad saazi ke iqdamaat ko dobarah se qaim karne ki koi sanjeeda koshish nahi huvi hai.

Is Group ne mutasirah ilaaqoun ka dora kar ke apne mushahdat ko apni Report mein pesh kiya hai. Un ke mutabiq Shave Vihar mein Owleya Masjid ki poori imarat takreeban jali huvi payi gayi. Ek muqami shakhs ne nishandahi ki hai ke Masjid mein kayi Kitcehn Gas Cylinder phainky gaye they aur is ki mukammal tabahi ko yakeeni banaya gaya tha. Masjid ki imarat ko bachanay ke liye ek Hindu baradri se talluq rakhnay walay shakhs ne fire Brigade ku kahi Phone kiye they. Report mein darj hai ke logoun ne is Group ko bataya ke sharpasand anasir musalsal ”Jai Shree Ram“ jaisay naaray laga rahay they. Report mein kaha gaya hai ke azaadi dilatey hain, Ye ander ki baat hai, Police hamaray sath hai, Ke naaray bhi lag rahay they. Report mein ye bhi kaha gaya hai ke logoun ne bataya ke bijli ki linen jaan boojh kar cut kardi gayi then aur bijli ke Meter jala diye gaye they, Jis se pooray ilaqay ko andheray mein dhakel diya gaya taakay Muslim baradri ko honay walay tashdud ki wajah se dodnay par majaboor kiya ja sakay.

Is Group ne sabiq rukan Assembly Bhisham Sharma ke School Arun Public School ka dora kiya aur School intizamia ne daawa kiya ke is ka 1.5 se 2.0 Crore rupay ka nuqsaan huva hai, School ki Library jal gayi thi aur ziyada tar Classe Room kharab hogaye hain. Atishzadgi mein 30 saal se ziyada ke tamam Record bhi tabah hogaye. School ki jald murammat kar di gayi hai aur usay paint kiya ja raha hai. Report mein ye bhi darj hai ke Group ko bataya gaya ke jis waqt School ko jalaya gaya is waqt talba imthehaan day rahay they aur Fire Brigade ne 12 ghantay ke waqfay ke baad jawabi karwai ki aur Police Control Room ne baar baar Phone karne par bhi koi jawab nahi diya.

Is Group ke arkaan ne Shave Vihar mein waqay Faisal Farooq ke School Rajdhani Public Senior Secondary School ka dora kiya, Lekin Gate band honay ki wajah se wo andar nahi jasakay. Group ne thereer kiya hai ke bahar se aisa laga jaisay School buri terhan tabah hochuka hai aur mutadid Classe Room jal chuke hain. School ke maalik Faisal Farooq ko haal hi mein Police ne giraftar kiya hai. Is Group ne Delhi Waqf Board ke zareya qaim Eidgah Relief Camp ka bhi dora kiya jis mein takreeban 1200 be ghar musalman panah liye huve hain. Group ne ye bhi thereer kiya hai ke Delhi hukoomat ke zareya koi tibbi sahoolat faraham nahi ki gayi hai. Group ne wahan paaya ke ghair sarkari tanzeemoun ne Doctors aur zurori samaan ka intizam kiya huva hai. Group ne thereer kiya hai ke Delhi Waqf Board ke arkaan ki adam tawajhi wahan par poori terhan zahir horahee hai.

Is Group ne Varinder Singh ke Car Garage ka dora kiya jahan takreeban 40 gadiyaan mukammal tor par jhulsi nazar ayen. Ye Garage Hindu aur musalmanoun ki gadiyoun ki Parking ke tor par istemaal hota tha. Is Group ne Shave Vihar ki gali mein waqay Madina Masjid ka dora kiya aur paaya ke Masjid ko buri terhan nuqsaan pouncha gaya hai aur chala gaya hai. Kayi makanaat buri terhan tabah hogaye aur makeen apna ghar chodkar bhaag gaye they. Is Group ne thereer kiya hai ke un ke samnay Hindu aur Musalman padosioun ne ek dosray ki madad ki hai is terhan ke waqeat bhi suneney mein aeye. Is terhan is ke shawahid bhi miley hain ke musalman ilaqay ke mandiroun aur Hindu padosioun ki hifazat ke liye musalman khaday rahay aur kisi bhi Muslim ilaqa mein kisi Hindu ibadat gaah ko koi nuqsaan nahi pouncha. Group ne apni Report mein ye bhi tehreer kiya hai ke kuch mamlaat mein Hindoun ne Musalmanoun ki jaidaad aur gharoun ki nishandahi bhi ki. Jahan kuch Hindu ke gharoun ko jala huva paaya gaya wahein badi tadaad mein Musalmanoun ki dukanain aur ghar jalay huve paye gaye.

Is Group ne dekha ke apne gharoun se be ghar Hindoun ke liye koi Camp nahi tha. Is Group ne tehreer kiya hai ke 23 Feb 2020 ku muslim aur Hindu dono tabqo ke sharpasandoun aur fasadioun ne ladai ladi aur doosri baradri ki amlaak ko nuqsaan pohanchaya. Taham, 24 aur 25 Feb 2020 ko aisa lagta hai ke fasaad ne munazzam shakal akhteyar karli thi. Report mein kaha gaya hai ke 23 Feb ko tashadud ke pehlay hi din agar Police commissioner ne aman o amaan barqarar rakhnay ke liye apni zimma daari ka muzahira kiya hota to ziyada tar aatish zani, Nuqsaan aur amwaat ko roka ja sakta tha. Wo Curfew nafiz kar saktay they aur tashadud aur aatish zani mein mulawis kisi bhi hujhoom par firing ka hukum day satke they.

Is Group ne aindah aisa na ho is ke liye kuch sifarshaat ki hain jis mein kaha gaya hai ke aisay waqeat ko roknay ke liye Police aur intizamia ko sakhti se nimatnay ki zaroorat hai. Is Group ne Report mein thereer kiya hai ke kuch siyasat daan aur Electronic o Social Media par kuch aisi ishtial angaiz khabrain phailai gayeen jin ko rokna zurori tha. Hindustani nazriya ki hifazat ki zaroorat thi. Is mein kaha gaya hai ke Senior ohdedaroun ko aisay waqeat ke liye moorad ilzaam thehraya jana chahiye. Raahat ke kamoun ke liye Delhi hukoomat ko apna amlah badhana chahiye aur rahat  kamoun ko durust karne ki zaroorat hai.

-YTN STAFF