Friday, May 3, 2024
HomeHyderabadPhone Cheen Kar Bhagnay Ki Wardatoun Mein Izafah, Awam Ko Chowkanna Rehne...

Phone Cheen Kar Bhagnay Ki Wardatoun Mein Izafah, Awam Ko Chowkanna Rehne Ki Hidayat

Hyderabad: Hyderabad noujawanoun mein phone cheen kar bhagnay aur phir usay farokht karte hue aasani se paise kamanay ka mujremana rujhan tezi se badh raha hai. police jo kabhi khawateen ke gale se chain cheen nay ke waqeat ke khilaaf iqdamaat karti thi ab woh phone cheen kar bhagnay wali gangs ke khilaaf karwai mein masroof ho chuki hai jaisa ke guzishta 15 dinoun mein police ne ki gangs ke arkaan ko girftar kiya hai .

Police commissionaire Anjani Kumar ne kaha hai ke mobile phone cheen kar bhagnay wali gangs ke arkaan ki umrein 16 tak 25 saal ke darmiyan hai kyunkay mobile cheen kar na sirf qeemti ashya haasil ki ja sakti hai balkay usay aasani se Secunderabad ke Honkong bazaar aur Abids ke Jagadish market mein farokht karne ke alawa dost ahbaab ke zariye ya kabhi ajnabi shakhs ko bhi masroqa phone aasani se farokht kar diya ja sakta hai, jis se achi khasi raqam haasil horahee hai. aasani ke sath phone cheennay ke zariye moti raqam haasil honay aur pur taysh zindagi ko yaqini bananay ke asan rastay ne nojawanon mein is jurm ke rujhanaat ko teizi se badha diya hai .

Dono shehroun mein mobile phone cheen kar bhagnay ki wardatoun mein izafay ke baad police ne commissionaire task forces ki ek khusoosi team tayyar karte hue CCTV cameras , phone tower ke zareya locations aur call data ke tajzia ke zariye un jaraim par qaboo panay ki kamyaab koshish ki hai aur mukhtalif gangs ke arkaan ko girftar bhi kiya hai. mobile phone cheen kar bhagnay wali gangs ke arkaan pehlay to apne nishanay ko taayun karte hain jis ke baad un ke qareeb pohanch kar ek zurori aur ahem call karne ki darkhwast karte hue unse phone haasil karte hain jis ke baad raah faraar ikhtiyar karte hain. –apne aankhon ke samnay apni milkiat ko jatay dekhnay aur be basi ke aalam ke baad phone ka maalik police mein shikayat darj karta hai aur haliya dinoun mein dono shehron mein aisi shikayaat mein izafah hua hai lehaza police nr awam ko bhi mahswara diya hai ke agar koi ajnabi intahi ahem aur zurori call karne ki guzarish karte hue phone mangay to usay phone nah day balkay mushtaba nojawan ki ittila police ko den .