Saturday, September 14, 2024
HomeOthersHealthPharma city se mutadid dehation ki zindagion aur mahol ko khatrah

Pharma city se mutadid dehation ki zindagion aur mahol ko khatrah

Hyderabad: In qiyaas aaraoun ke baad ke jald hi pharma city ka sang bunyaad rakha ja raha hai aur Is ke iftitah ke liye Wazeer-e-Azam Narendra Modi ko bhi madoo kiya ja sakta hai, iske khilaaf ehtijaj karte hue mutadid dehation aur maholiyati kaarkunon ne press ijlaas kiya.

Mujawaza pharma city Rangareddy zila ke Kundookor, Yacaharam aur kuthal mandaloun mein 19,333 acre araazi par taamer kiya jayega aur is par takhmeenah masarif 5,157 crore rupiye ayenge.

Is project ke liye ab tak hukkaam ne 8,400 acre araazi haasil ki hai. Is mansoobay ke liye araazi ke husool ko ghair qanooni qarar dete hue dehation ne ilzaam lagaya hai ke pharma city un ki zindagion ko tabah kar day ga. Is zimn mein izhaar-e-khayaal karte hue 50 sala Manima pang ne kaha agar woh ( Hukoomat ) hamari sir se zameen cheen layte hai to hamaray paas wahid rasta zeher pee kar apni zindagi khatam karna hoga kyunkay hamaray paas kuch nahi bachayga.

Ek aur dehati Naween ne kaha hukoomat aur arbab majaz kehte hain ke woh hamein mulazmat denge. Yeh ek mazaaq hai. Kyunkay woh pehlay hamari zameenen lenge, hamein be-rozgaar kar dein ge aur phir hamein mulazmat ki paish kash karen ge.

Maholiyati tabahi ke tor par pharma city mansoobay ka zikar karte hue awaami policy ke maahir Dr narsimha reddy ne kaha hum pehlay hi jantay hain ke kis tarhan Pharmaceutical san-aton se aloodgi ne riyasat ke mutadid maqamat jis mein shehar ke ahem maqamat Patancheruvu aur Jedimetla ilaqon mein kisanon ki zindagion ko tabah kiya hai. mazeed dawasazi ki companiyon ka husool sirf ziyada se ziyada zindaganian tabah kardeyga aur is khittay mein qudrati wasail, zarayi araazi aur aabi zakhair ko khatrah la-haq hoga. project mein teen RR Mandals ka ahata kiya jayega. Mujawaza pharma city Rangareddy zila ke mandals mein 19,333 acre araazi par aayega aur 5,157 crore rupiye ki laagat se qaim kya jayega.