Wednesday, May 1, 2024
HomeIndiaPetrol ki qeemat may phir izafah, kayi shehroun may fi liter ki...

Petrol ki qeemat may phir izafah, kayi shehroun may fi liter ki qeemat 80 Rupay se agay

Mumbai: Awam ko aaj ek aur jhatka laga hai kyun kay mulk ke Metro aur ahem shehroun may Petrol ki qeemat may phir izafah huwa hai aur kayi maqamat par Petrol fi Liter 80 Rupay se bhi tajawaz kar chuka hai. Petrol ki qeemat jummay ke roz phir badh gayi. mulk ki muashi dar-ul-hakoomat Mumbai may 7 haftay baad phir Petrol ki qeemat 80 rupay ke oopar chali gayi. mulk ke 4 Metro Politen shehron Dehli, Kolkata, Mumbai aur Chinnai may Petrol ki qeemat may 15 se 16 Pesai fi Liter ka izafah ho gaya. doosri taraf Diesel ki qeemat may koi tabdeeli nahi hui hai. ilawa azeen bain-ul-aqwami bazaar may khaam tail ki qeemat 2 mahinay ki onche satah par bani hui hai

Indian Oil ki Website ke mutabiq Dehli, Kolkata, Mumbai aur Chennai may Petrol ki qeemat badh kar bal tarteeb 74.35 Rupay, 77.04 Rupay, 80.01 rupay aur 77.29 Rupay fi Liter ho gayi hai. 4 Metro politan shehron may Diesel ki qeemat bhi baghair kisi tabdeeli ke ba-tarteeb 65.84 Rupay, 68.25 Rupay, 69.06 Rupay aur 69.59 Rupay fi Liter par bani hui hai.

Tail Marketing Companiyon ne jummay ko Dehli, Kolkata aur Mumbai may Petrol ki qeemat may 15 pesey jab ke Chennai may 16 pesey fi Liter izafah kiya. Mumbai may is se pehlay 3 October ko Petrol ki qeemat 80.11 Rupay fi Liter thi aur taqreeban saat haftay baad ye qeemat phir se 80 se uboor karchuki hai.

Bain-ul-aqwami bazaar may kam tail ki qeemat may 2 dinon ki taizi ke baad narmi ke sath kaarobar chal raha tha, halaank qeemat taqreeban 2 mahinay ki onche satah par hai. Benchmark khaam tail Brent Crude ki qeemat 63 Dollar fi barrel ke oopar bana huwa hai. bain-ul-aqwami wada bazaar International Content Exchange ( ICE ) par Brent Crude ka January moahida jummay ko guzashta Session se 0.56 feesad ki narmi ke sath 63. 61 Dollar fi barrel par bana huwa tha. wahein Americi Light Crud West Texas Intermediate ke January moahida may guzashta Session se 0.67 feesad ki narmi ke sath 58.19 Dollar fi barrel par kaarobar chal raha tha.  -YTN STAFF