Sunday, May 4, 2025
HomeJurmPersonal Loan Ke Cal Sms Se Hoshiyar Rahen Warna Aap Ka Account...

Personal Loan Ke Cal Sms Se Hoshiyar Rahen Warna Aap Ka Account Khaali Hojaye Ga

Hyderabad: Hyderabad mein aeye din  dhoka dahi ke naye waqeat samnay atay rehtay hain ab is waqt jo dhoka dahi ka naya tareeqa urooj par hai woh awam ko personal loan ki farahmi ka lalach day kar bank account se ruqumat khaali kar di jarhin hain. personal loan ka cal yeh SMS jis mein loan 5 laakh aur is se ziyada ki qeemat honay ki ittila dete hue awam ko luta ja raha hai .

Agar aap ko bhi aindah kisi financial Executive ka phone ya koi SMS masool ho jis mein personal loan ki tafseelaat aur kaha jaye ke 5 laakh ke is se ziyada ka Loan Manzoor ho chuka hai aur is ke husool ke liye chand kaghazi karwai ki takmeel baqi hai jaisi tafseelaat millti ho to is se hoshiyar ho jaye kyunkay dhoka dahi ka yeh ab naya tareeqa hai. city police ke mojab guzashta 2 mahino ke douran is tarha ki dhoka dahi ke 10 muqadmaat darj kiye ja chuke hain jis mein personal loan ke Manzoor honay aur kaghazi karwai ki takmeel ke naam par awam ko loot liya gaya hai. police ne yeh bhi wazeh kiya hai ke chand baday Finance companies ke mulazmeen dhoka dahi mamlaat mein mulawis hain kyunkay woh awam ka data dhokay bazoo ko faraham kar rahay hain .]

Police ne jo muqadmaat darj kiye hain un mein chand ek ki tafseelaat batatay hue kaha ke 25 sala Ilyas ( naam tabdeel ) jo ke ek Delivery boy hai, usay ek din phone aaya aur kaha gaya ke Mahnidra finance ka mulazim baat kar raha hu aur aap ke liye 5 laakh rupay ka loan Manzoor hua hai. dastawizaat ki tayari ke alawa aap ko apne account mein do mah ka EMI 32 hazaar rupay rakhna zarori hoga. jis par Ilyas ne loan ke husool ke liye karwai shuru ki aur apne account mein 32 hazaar rupay ki raqam jama karwa diye lekin chand hi ghanton ke andar Ilyas ke account se pesey nikaal liye gaye. dosray waqea mein ek khangi mulazim ko isi tarha loan ki lalach mein apne account se 70 hazaar rupay ka nuqsaan bardasht karna pada hai.Rachakunda ke additional commissionaire cyber crime  ne kaha hai ke awam ko 5 laakh ke is se ziyada ki raqam ke loan ke Manzoor honay ka lalach dete hue unke account se ruqumat gayab kar di ja rahi hain. is tarhan ke cyber crime mein naamwar finance companies ka amlah bhi mulawis hai jo ke data ka surqah karte hue taizi se ziyada se ziyada pesey bananay ka rasta ikhtiyar kar rahay hain. city police ne awam ko mashwara diya hai ke agar inhen loan ke Manzoor honay ka SMS ya phone cal aaye to pehlay mukammal itminan haasil karlen aur agar kisi bhi zawiye se shuba zahir hota hai to is ki ittila police ko di jaye .-YTN STAFF