Jaipur: Pehlu Khan hujumi tashadud muqadmay mein sabhi mulzimin ke bari honay ke baad dobarah is muamlay ki tehqiqaat kar rahi SIT ne apni report tayyar kar li hai aur tehqiqat mein kayi haeran karne wali battain samnay aayi hain.
Shaya report ke mutabiq SIT ki team neh yeh mana hai ke jis mobile se hauhoom ke tashadud ka video banaya gaya tha, usay police ne saboot ke tor par zabt to kiya tha, lekin usay sarkari wakeel ne saboot ke tor par adalat mein paish nahi kiya. report ke mutabiq SIT neh apni tehqeeq mein aiteraaf kiya hai ke pehlu Khan ki pataayi ke do video samnay aaye thay. un mein se ek video sab se ziyada viral hua hwa tha jisay zabt kiya gaya mobile SIT ke maal khanah se bar-aamad kiya gaya tha.
SIT ne apni tehqeeq mein yeh bhi paaya ke jaanch ohdedaron ne video ki taswerain bana kar charge sheet mein bator-e-saboot lagayen. haerani ki baat yeh hai ke un tasweeron ke barey mein FSL se certificate shaamil hi nahi kiya gaya. report mein yeh baat samnay aayi ke 1st April ko shaam taqreeban 7 bajey pehlu Khan se maar peet hui thi. iske baad unhein 7: 50 bajey hospital muntaqil kiya gaya tha. Police ne 11:50 bajey pehlu Khan ka bayan darj kiya tha. report ke mutabiq pehlu Khan neh apne bayan mein kuch logoun ke naam bataye they. unke bayan ki bunyaad par police neh 3 ghantay baad muqadma darj kiya tha. adalat mein AM aur PM ko lekar ghalat fehmi hui thi. APP muamlay ko saaf nahi kar paye thay. tehqiqaat karne walay ohdedaron ke darj bayan ke mutabiq naamzad mulzimin ko lekar kya tehqeeq ki iske adalat mein saboot paish nahi kiye gaye. itna hi nahi FIR mein naamzad mulzimin ki jagah par dosray logon ko mulzim banaya gaya.
Wazeh rahay ke Haryana ke Nooh bashindah pehlu Khan apne betoun ke 1st April 2017 ko Jaipur se gaaye aur deegar maweshi khareed kar apne ghar le ja rahay thay. is douran qaumi Shah raah 8 par alwar ke behrood mein kuch logon neh pehlu Khan ki gaadi ko rok li aur gaou smuggling ka ilzaam lagatay hue unki pitaayi kardi. hamlay mein zakhmi pehlu Khan ko hospital mein ilaaj ke liye daakhil karwaya gaya. ilaaj ke douran 4 April ko unki mout ho gayi. is muamlay ke sabhi mulzimin ko saboot nahi honay ki wajah se ADJ adalat neh chand din pehlay hi bari kar diya. iske baad tehqeeq par sawal khadey kiye gaye thay. is muamlay mein rajasthan ki Gehlot hukoomat neh dobarah jaanch ke hukum diye. –YTN STAFF