Monday, May 20, 2024
HomeIndiaPehlu khan ke khilaaf charge sheet, congress ki safai

Pehlu khan ke khilaaf charge sheet, congress ki safai

Jaipur: Pehlu Khan hujoomi tashadud maamla mein pehlu Khan ke khilaaf hi charge sheet daakhil kiye jane ke baad Rajasthan ki siyasat ek zalzalay ka shikaar hogayi hai. zulm ke shikaar pehlu Khan ke khilaaf hi Police karwai se congress hukoomat tanqidoun ki zad mein aagai hai lekin ab chief minister ashok Gehlot ne wazeh kar diya hai ke is muamlay ki jaanch BJP hukoomat mein hui thi aur charge sheet bhi isi hukoomat mein pesh kiya gaya tha. sath hi unhon ne kaha ke agar tehqiqaat mein kuch ghalti hui hai to congress hukoomat dobarah is ki tehqiqaat karwayegi.

Qabil-e-zikar hai ke gaaye ki smuggling ke naam par pehlu Khan ki hujhoom ne zabardast pitaai kar di thi aur dawakhana mein ilaaj ke douran is ki mout ho gayi thi. Police ki janib se adalat mein pesh charge sheet mein pehlu Khan aur is ke do beton ko gaaye smuggling ka mulzim banaya gaya hai. yeh khabar phelnay ke baad cheif Minister Gehlot ne wazahat karte hue kaha ke agar is tehqiqaat mein koi ghalti payi gayi to hum dobarah tafteesh karwaenge. unhon ne saaf lafzon mein yeh bhi kaha ke woh qusurwaroun ko kisi bhi haal mein nahi chodenge.

Ashok Gehlot ne media se baat cheet ke douran kaha ke is muamlay mein guzashta hukoomat mein tehqiqaat hui thi. tehqiqaat poori honay ke baad adalat mein charge sheet pesh ki gayi. is ke baad pehlu Khan ke betay uboori zamanat ke liye adalat chalay gaye aur adalat mein unko zamanat bhi mil gayi. adalat ne kaha ke jab tak aap mulzim ko le kar nahi aaoge, tab tak chalan pesh nahi karenge. mulzim pesh hue to Police ne chalaan pesh kar diya. is poooray waqea ki tafteesh BJP hukoomat mein hi hui thi. lekin agar is mein kuch bhi ghalat hua hai to dobarah tehqiqaat hongi.

chief minister ne yeh bhi kaha ke ab jab ke muqadma mein chalaan pesh hua hai to hamara kaam yeh dekhanaa hai ke tafteesh kis tarhan hui hai? agar tafteesh mein khaami payi gayi to hum dobarah tafteesh karwaenge. aisa sochna ghalat hai ke hukoomat ne apna bayan badal diya hai. hum un logon ko kabhi qanoon nahi todnay denge jo gao kasha ke naam par qatal kar te hain. hum aisay anasir ki muzammat karte hain aur hum aisay mulzimon ko chodney walay nahi hain, chahay woh koi bhi ho . –YTN STAFF