Karachi: Pakistan ke sabiq Fast Bowler Shoiab Akhtar Pakistan Cricket Board par shadeed tanqeed ki hai. Unhoun ne Team Managment mein sabiq khiladioun ko shaamil na karne par PCB ko tanqeed ka nishana banaya. Is zimn mein Shoiab Akhtar ne Hindustan ki misaal bhi pesh ki jahan BCCI ki kamaan sabiq Captain Sourav Ganguli ke haath mein hai. Shoiab apni bebak raye dainay ke liye janay jatay hain. Kharab faisloun par Pakistan Cricket Board ki bhi tanqeed karte rahay hain.
Ek Chat Show mein Akhtar ne kaha ke PCB ko dosray mumalik se seekhna chahiye ke sabiq khiladioun ka mulk mein Cricket ko agay le janay ke liye kis terhan istemaal kiya jana chahiye. Shoiab Akhtar ne sath hi Pakistan mein Alert Classe ki zehniat par bhi sawalia nishaan lagaye. Akhtar ne kaha ke alla ohdoun par baithy afraad apne matehat sirf kamzor logoun ko hi dekhna chahtay hain taakay unhein intizamia mein kisi qisam ki pareshani ka saamna na karna pade.
Akhtar ne kaha ke sabhi Cricket khailnay walay mumalik ne intizamia mein sabiq Cricketers ko shaamil kiya hai aur yahi wajah hai ke wo naye naye maqam haasil kar rahay hain. Wahein PCB ne aisa nahi kiya, Yahi wajah hai ke mulk mein Cricket jad-o-jehad kar raha hai. Is douran Shoiab Akhtar itnay naraaz hogaye ke unhoun ne yahan tak keh diya ke mera kaam sirf TV par baithna nahi hai, Mujhe Pakistan ka Cricket chalanay ka mauqa milna chahiye. Akhtar ne Hindustan aur junobi Africa ki misalein dete huve kaha ke Ganguly BCCI ke sadar hain, Rahul Dravid NCA chairman hain jabkay Graeme Smith Cricket Director hain aur Mark Boucher Head Coach hain. Jabkay Pakistan mein is ke bar aks hai. –YTN STAFF