Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaPaswan apne ohday ka ghalat istemaal kar rahay hain : Sanjay Singh

Paswan apne ohday ka ghalat istemaal kar rahay hain : Sanjay Singh

New Delhi: Delhi se Raj Sabha ke Member Sanjav Singh ne jumaraat ko kaha Consumer Officer Food and Public Distribution ke markazi wazeer Ramlas Paswan ne apne ohday ka ghalat istemaal kiya hai, wo wazeer banne ke ahal nahi hai“. Delhi ki hukamran Aam Aadmi Party ki janib se Media numaindoun se baat karte hue Sanjav Singh ne kaha ke Paswan ki janib se 16 November ko jari kardah pani se mutaliq Report ko jaali tehqiqaat ki buneaad par banaya gaya tha.

Sanjav Singh ne Media numaindoun ko bataya Paswan ne apne ohday ka ghalat istemaal karkay, ye saabit kiya hai ke wo wazeer ban’nay ke ahal nahi hain. inhen apne ohday se istifa dedena chaheye aur jhoot phelanay par Delhi ke awam se maffi maangni chahiye“.

Unhoun ne kaha ke jin 11 maqamat par pani ke namoonay jama kiye gaye they, unke baarey may Paswan ne Krishi Bhavan aur apni rahaish gah ka pata bhi bataya hai, jo NDMC ke ilaqay may aata hai. ye bad qismati ki baat hai, lekin haqeeqat ye hai ke Delhi ke pani ke miyaar se mutaliq Report jis terhan Paswan ne inkishaaf kiya hai, wo poori terhan se mann gharat hai.

Singh ne mazeed kaha ”aske ilawa fehrist may shaamil afraad ne ye daawa kiya hai ke koi bhi un ke ghar istarah ke namoonay lainay nahi aaya aur wo pani ke miyaar aur Delhi hukoomat se khush hai“. Rajia sabha ke rukan ne Paswan se poocha ke wo kis ki hidaayat par jhoot bol rahay hain aur Paswan ko ye ittila kahan se مmeli“.

Mai unse pochna chahta hon ke Paswan ne aisi mann gharat Report tayyar ki. Margazi-e-wazeer honay ke nate unhoun ne is mulk ke aaeni usoloun ke sath ghaddari ki hai. Paswan ko Delhi aur Hindustan ke awam se maffi maangna chahiye aur inhen fori apne ohday se istifa dena chahiye. unhoun ne ye bhi kaha ke Delhi ke mukhtalif maqamat se har roz 500 namoonay’ Delhi Jal Board layte hai.

Darin Isna , BJP ne Delhi Unit ke sarbarah Manoj Tiwari ki sarbarahi may wazeer-e-aala Arvind Kejriwal, jo Delhi Jal Board ke sarbarah bhi hain, ki rahaish gaah par ehtijaj kiya. baad azan Manoj Tiwari ne Media numaindoun ko bataya ke ”Delhi may ek wazeer aala Iqtidaar may aaya hai, jo Delhi ke

Aawam ko aaloda pani ki wajah se honay wali bimarioun ki taraf Raghib kar rahi hai. saaf pani har shehri ka buneadi hak hai aur Kejriwal is hak ko cheennay ki koshish kar rahay hain. –YTN STAFF