Tuesday, April 23, 2024
HomeLatest NewsParween Kumar ko silver medal aur ooni ko bronze medal

Parween Kumar ko silver medal aur ooni ko bronze medal

Tokyo: Hindustan ke Parween Kumar ne Tokyo para Olympics mein mardon ke T 64 muqable ke final mein silver medal jeet kar tareeq raqm ki woh is match mein gold medal jeetne se chauk gaye. Nuweda ke rehne wale Parween ne mardon ke T 64 high jump muqable mein 2.07 meter ki chalang lagayi aur dusre number par rahe Britain ke broom adaurdis jo natan ne 2.10 meter ki chalang laga kar gold medal hasil kiya jabke poland ke lipiyato maseezo ne 2.04 meter ki jump ke saath brounce medal apne naam kiya hain.

Parween is muqable gold medal se mehroom hogaye. Ek waqt woh gold medal jeetne ki dod mein barqarar the lekin Britain ke Broom Adaurdis ne unhe peeche chod diya jiske baad Hindustani athlete ko silver medal par ikhtefa karna pada Hindustan ki nishana baaz Oona likheda ne jume ke roz Tokyo para Olympics mein khawateen ki 50 meter rifal 3 position SH win muqable mein bronze medal jeet kar tareeq raqm ki yeh Ooni ka dusra medal hai aur woh uske saath hi ek para Olympics mein do medals jeetne wali pehli Hindustani khiladi ban gayi hain ooni se pehle Joginder Singh Sodhi para Olympics ke ek hi event mein kayi medals jeetne wale wahid Hindustani the. Unho ne 1984 ke para Olympics mein ek silver 2 bronze medal jeete the unka silver medal short put mein jabke 2 bronze medal unho ne discuss aur neeza phekne ke muqable mein jeete the.

Sadar aur prime minister ki mubarak baadi

Sadar Raam Nath Kovind prime minister Narendra Modi aur markazi vazeer khail Anurag Singh thakur ne Tokyo para Olympics me sliver medal jeetne per Praveen Kumar ko mubarak baad aur Naik khawishaat paish kiye. Kovind ne tweet kiya para Olympics mein Parween Kumar ki mutasir kun kar gardegi. PM ke daftar ke mutabiq Modi ne Praveen Kumar se baat kar ke unhe Mubarak baad di. Unho ne Praveen Kumar ki mehnat aur unke couch aur ahel khana ki jaanib se mile tawun ki bhi tareef ki.