Wednesday, May 1, 2024
HomeSliderParthiv patel tamam tarz ki cricket se subukdosh

Parthiv patel tamam tarz ki cricket se subukdosh

New Delhi:  Hindustani wicket Parthiv patel ne cricket ke sabhi format se subukdoshi ka aaj elaan kiya. Parthiv patel ne social media par post karte hue subukdoshi ka elaan kiya. Parthiv ne Hindustan ki janib se 25 test, 38 ODI aur do T20 match khailay hain.

Parthiv ne likha aaj mein cricket ke sabhi formats se subuk doshi ka elaan kar raha hoon aur isi ke sath mera 18 saal ka taweel career khatam ho raha hai. mein kayi logon ka shukriya ada karna chahta hon. BCCI ne mujh par etemaad zahir kiya aur 17 saal ke noujawan khiladi ko hindustani team ke liye khailnay ka mauqa mila. Hindustan ki janib se sab se kam Umar mein bator wicket keeper test mein career ka aaghaz karne walay Parthiv ne apni bayan mein BCCI ke mojooda saddar sourav ganguly ka shukriya ada kiya.

Patel ne ganguly ki captani mein career  ka aaghaz kiya tha. 35 sala khiladi ne likha mein khaas tor par dada ka shukar guzar hon. woh mere pehlay captain thay. unhon ne mujh par kafi etemad kiya. un ke sath khelna mere liye khush qismati ki baat thi. yaad rahay ke Parthiv ne aakhri martaba Hindustan ke liye 2018 may khela tha.

Parthiv ne 17 saal 152 din ki Umar mein England ke khilaaf 2002 mein notingham mein test cricket mein qadam rakha tha aur woh test mein debut karne walay sab se nojawan wicket keeper ban gaye thay. Hindustan mein MS dhoni ke urooj ke baad woh dosray wicket keeper ke kirdaar mein shaamil hue thay.

Unka aakhri test January 2018 mein junoobi Africa ke khilaaf Johns burg mein tha jo Hindustan ne jeeta tha. Ek saal baad woh Hindustan ki australiyai team ke khilaaf 2-1 se jeet haasil karne wali test team ka hissa thay lekin is series mein unhon ne ek match bhi nahi khela tha. Unhon ne test mein 6 nisf centuries ki madad se 934 runs banaye. is douran un ka osat 31. 13 raha. unhon ne wicket ke peechay 62 catch liye aur 10 stumpings bhi ki. Parthiv ne ODI career mein 23.74 ki osat aur chaar nisf centuries ki madad se 736 runs banaye.

Is douran unhon ne 30 catch liye aur 9 stumping ki. Parthiv ne domestic cricket mein bohat behtar karkardagi ka muzahira kiya aur 194 first class matchon mein 27 centuries ki madad se 11240 runs banaye. unki captani mein gujrat ne saal 2016-17 mein ranji khitaab jeeta tha aur sath hi vijay hazare trophy bhi jeeti thi. Parthiv IPL mein 6 teamon ki taraf se khailay aur 139 matchon mein 13 nisf century score ki.