Monday, April 21, 2025
HomeIndiaParliament Ke Jari Session Mein Hukoomat Hujoomi Tashadud Ke Khilaaf Qanoon Mutarif...

Parliament Ke Jari Session Mein Hukoomat Hujoomi Tashadud Ke Khilaaf Qanoon Mutarif Kar Sakti Hai

Hyderabad : Supreme court ki janib se mulk mein hujoomi tashadud ke badhatay maamloun se nipatne ke liye ek qanoon bananay ke liye hukoomat ko Hidayat diye jane ke ek saal baad, markaz is tarhan ke qanoon saazi ka kaam kar raha hai aur parliament ke jari session mein usay muta-arif karaya ja sakta hai.

Supreme court ka hawala dete hue AIMIM ke saddar wo rukan-e-parliment hyderabad Asad Uddin Owaisi nay jummay ko center mein poocha ke yeh qanoon ke nafiz karne mein takheer kyun kar rahi hai. jabkay guzashta saal, Supreme court nay hukoomat se mutalba kiya tha ke woh Mob lynching par qanoon banaye.

Rajasthan, jis nay pichle do saaloun mein Mob Lynching ke ek douzen se bhi ziyada maamloun ke badas ke khilaaf qanoon laane ke mansoobah ka elaan kiya hai. phir July maheena ki shuruvaat mein, uttar pradesh qanoon commission nay ek musvada bill ke tehat bhi sakht saza ki sifarish ki. jis mein Umar qaid bhi shaamil hai. –YTN STAFF