Wednesday, May 15, 2024
HomeSliderParis may Saudi saqafati numayesh ka iftitah

Paris may Saudi saqafati numayesh ka iftitah

Paris: Saudi wazeer-e-saqafat shehzada Badr Bin Abdulah bin Farhan ne UNESEACO ke sadar daftar Paris may Saudi saqafati numayesh ka iftitah kardiya. Saudi saqafati numayesh ka intizam wizarat Saqafat AlUla Royal Authority aur Misk Art Institute Arts ne kiya hai. is may 19 funkar shareek hain. 39 shahkaar numayesh may rakhay gay hain. kayi bain-ul aqwami fankar bhi shareek hain. Saudi Press Agency SPE ki janib se jari kardah tafseelaat ke mutabiq Saudi saqafati numayesh ka iftitah UNESCO may wazraye Saqafat bain-ul aqwami forum ke mauqa par kiya gaya hai .

Is mauqa par Austrlia may Saudi safeer shehzada Abdullah bin Khalid , Emerati ki wazeer-e-Saqafat Mohammed Noura Al-Kaabi, Korea ke wazeer-e-saqafat Park yong Woo, Aasaar-e-Qadima aur fanon-e-Saqafat ke aala ohdedar mojood they. is numayesh may Arabi Qawah, falkin pakadney ka fun, Saudi khaano ke tor tareeqay, Arab moseeqi aur Saudi qaseda pesh kiye jarahay hain. Saudi Saqafat ko ujagar karne wali tasaveer, sang tarashi ke namoonay aur asar-e-haazir ke Arts ke sheh paaray bhi sajaye gaye hain. shaiqeen ko numayesh may Saudi Saqafat ke maazi, haal aur mustaqbil se muta-arif karwaya ja raha hai.

Daren asna Saudi Arab ko UNESCO ke intizami idaray ka rukan bhi muntakhib karliya gaya. Saudi wazeer-e-saqafat ne UNESCO ki Director Audrey Azoulay se mulaqaat ki hai. Science, Saqafat , fanoon aur virsay ke shobo may UNESCO aur Saudi wizarat Saqafat ke darmain taawun par tabadlah khayaal kiya gaya. –YTN STAFF