Thursday, April 25, 2024
HomeHyderabadParadise naam ka ghair majaz istemaal, Hotels ke signboard hata diye gaye

Paradise naam ka ghair majaz istemaal, Hotels ke signboard hata diye gaye

Hyderabad. Shaher ki aik muqami adalat ney jumaraat ke din ohdidaro n ko hadaayat di ke Paradise Group se talluq na rakhnay wali un tamam Hotels ke Boards nikaal dein jo Paradise ke naam se hain jis ki taameel mein kal aur aaj Paradise ke naam se chalaye janey wali un Hotels ke signboards nikaal dyie jo Secunderabad mein waqay Paradise Hotel ke malikeen ke group ”Paradise Group” se talluq nahi rakhtay. Adalati ehkaam par un Hotels ke signboards nikaal dyie gaye jinhon ney ghair qanooni taur par apni Hotels ke naam ‘Paradise’ ke naam par khe thae. Paradise group of Hotels ki janib se aik darkhwast dair karte hue ilzaam aayed kya gaya tha ke shaher mein kayi Hotels un ki Hotel ka naam istemaal karte hue chalaye jarahi hain jin mein food courts se le kar Hotels tak shaamil hain. Darkhwast mein kaha gaya tha ke aisi Hotels ki jaanib se un ke brand ka ghalat istemaal kya ja raha hai jis se Paradise Group ka waqar mutasir ho raha hai. Adalati ehkaam par ghair majaz naam istemaal karne wali un Hotels se signboards ko na sirf nikaal diya balkay is naam ke labels aur food items ko bhi zabt karliya. Paradise Group shaher mein Paradise ke naam se Hotels ka aik chain chalata hai, is ki Biryani duniya bhar mein mashhoor hai. Iss Group ney Hotels chalanay ke liye Paradise ke naam ka copy right aur logo ka registration haasil karliya hai jis ke baais dosray Paradise ke naam aur iss se mushabihat rakhnay walay andaaz bhi ikhtiyar nahi kar saktay.