Tuesday, May 14, 2024
HomeIndiaPanjab Assembly ne Water Regulation Authority Bill paas kiya

Panjab Assembly ne Water Regulation Authority Bill paas kiya

Chandigarh: Punjab Assembly ne jummay ko mutafiqa tor par Punjab aabi wasail ( Managment and Regulation ) Bill 2020 ko manzoor kiya, Is terhan sarhadi riyasat mein pani ke ahem wasail ke intizam ke liye Punjab water Regulation and Development Authority ke qiyam ki raah hamwar hogi. Ye Bill ewaan mein wazeer aab paashi Sukhbinder Singh Sarkaria ne pesh kiya.

Is Bill par behas mein mudakhilat karte hue, Wazeer aala Amarinder Singh ne kaha ke 23 January ko riyasat mein pani ke teezi se khatam ho rahay aabi wasail se nimatnay ke liye ek jame hikmat e amli te karne ke liye kal jamati ijlaas munaqqid kiya jaye ga.

Wazeer aala ne kaha’ mujawaza ijlaas mein Sutlej Yamuna Link Canal, Sanati aur gharelou kachray aur riyasat ke pani ke masail se mutaliq aur phir geharie se tabadlah khayaal kiya jaye ga, Jis mein ek tafseeli hikmat e amli bananay ke liye ittafaq raye waza kiya jaye ga“.

Wazeer aala ne 2 roza khusoosi ijlaas ke aakhri din Assembly ko bataya ke ijlaas ke liye pehlay hi dawat naame bhejhay gaye hain. Oppostion Aam Aadmi Party aur Shiromani Akali Dal ne riyasat mein pani ke kam wasail aur girtay hue zameeni satah par gehri tashweesh ka izhaar karte hue is Bill ki himayat ki.

Oppostion leader Harpal Singh Cheema ke zariye uthaye gaye mamlaat ke jawab mein, Wazeer aala ne is muamlay par apni hukomat par mutawatar tanqeed karne par oppostion ki sarznish ki, Jab ke wo khud bhi is maslay se nimatnay mein kisi bhi terhan ke kirdaar ada karne mein nakaam rahay hain.

Zeer-e-zameen pani ki badhti hui darya ke pani ki badhti hui aloodgi ko ek sangeen masla qarar dete hue, Wazeer aala ne is maslay ko hal karne ke liye apni hukoomat ke azm ka iada kiya. Pani ki qillat ke maslay se nimatnay ke liye zaraye dhoundnay ke liye apne Israel doray ka zikar karte hue wazeer aala ne kaha ke maghribi Addition  mumalik ko bhi aglay 15 saloun mein shadeed bohraan aur aabi wasail ki kami ka saamna dar pesh hai. –YTN STAFF