Wednesday, May 15, 2024
HomeLatest NewsPandya test team mein shaamil nahi hosaktay : Kohli

Pandya test team mein shaamil nahi hosaktay : Kohli

Sydney: Mehdood overs ki series mein Hardik Pandya ki shandaar batting ne inhen finisher ka ek izafi laqab diya hai lekin Hindustan ke captain Virat kohli wazeh kardiya hai ke all rounder ko test cricket par ghor karne ke liye baqaidagi se bowling shuru karne ki zaroorat hai. Pandya ne pehlay aur teesray ODI matchon mein bal-tarteeb 90 aur 92 runs banaye hain aur dosray twenty 20 mein 22 gaindon par na qabil-e-shikast 42 runs ki inning kheli thi, jisne Hindustan ko T20 series per kamiyabi ki mohar laganay mein madad fraham ki thi, inhen Man of the series ka award bhi mila hai. yeh puche jane par ke aaya woh aindah chaar test matchon ki series ke liye Pandya ko sirf batsman ke tor par barqarar rakhnay ke khwahan hain to kohli ne nifi mein jawab diya.

Hardik bowling nahi kar saktay hain aur hum jantay hain ke woh bowling nahi kar payenge mehdood overs ki series mukhtalif thi aur ab test cricket ek mukhtalif challenge hai aur hamein bowling ki zaroorat hai. Kohli ne kaha hai ke hum ne iske baray mein baat ki hai. woh ek aisa khiladi hai jo beron mulk jaisay junoobi Africa , England aur Australia mein hamaray liye bohat ziyada tawazun paeda karta hai. unki bowling se hamein team ka tawazun barqarar rakhnay mein kaafi madad millti hai.

Kohli ka khayaal hai ke Pandya is zamray mein shaamil ho rahay hain jahan woh khail ke tamam format mein muzahira karna chahtay hain. unhon ne kaha ke woh yakeeni tor par is zamray mein hain jahan woh tenu shobo mein Hindustan ke liye behtar muzahira karna chahtay hain. yeh hamesha unka X factor raha hai. white ball cricket mein hamein ek aisa khiladi mila jo muqable ko team ke haq mein karsakta hai.