Tuesday, May 21, 2024
HomeSliderPalestine se mutaliq Saudi ka moaqqaf badastoor barqarara

Palestine se mutaliq Saudi ka moaqqaf badastoor barqarara

Jeddah: Saudi Arab nay Mutahidda Arab Emarat aur deegar mumalik ke mabain tamam parwaazon ko Saudi fazai hudood se safar karne ki ijazat day diye jaaney ke baad Palesteeni maqsad ke baaray mein kaha hai ke Saudi ka moaqqaf tabdeel nahi hoga. Tabdeel shuda Flight Policy ke zariye Mutahidda Arab Emarat ke general Civil Aviation Authority ki janib se shehri huwa baazi ke liye Saudi General Authority ki darkhwast par amal kiya gaya hai.

Shehzada Faisal bin Farhan ne kaha Mutahidda Arab Emirate ki parwazon ko Saudi fazai hudood se guzarnay ki ijazat dainay ka yeh matlab hargiz nahi hai ke Palestine ke mutaliq Saudi ka moaqqaf tabdeel hogaya hai. Mumlikat Arab aman iqdaam ke mutabiq insaaf aur paidaar aman ke husool ki tamam koshisho ki tareef karti hai lekin is ke sath Palestine ke mutaliq apne muaqqaf par qaim bhi hai.

Saudi siyasi tajzia nigaar Dr. Hamdan Al-Shehri ne kaha hai ke Saudi un do umoor ko allag karne ka tareeqa janti hai. Unhoun ne kaha haan hum ne parwazon ki ijazat di lekin is ka matlab yeh nahi hai ke hum ne apne asal maqasid ko chod diya.

Ohdon par faiz afraad ki zabaan aur bayan mein lachak hai, Jis ka matlab yeh nahi ke haqooq chhuut jayen ya munsifana aur munasib iqdamaat ko tark kardiya jaye. Un mamlaat mein hamara muaqqaf wazeh hai aur yeh tabdeel nahi hoga. Mutahidda Arab Emirate aur Israel neh guzashta mah ek muahiday kiya hai jis ke tehat taluqaat mamool par laaye gaye hain.