Sunday, May 19, 2024
HomeSliderPalestine ne America ke aman muahiday ko mustard kardiya

Palestine ne America ke aman muahiday ko mustard kardiya

Ramla: Palestini Athority ne Americi sadar Donald Trump ke pesh kardah mashriq wasti aman mansoobay ko mustard karte hue America aur Israel se taluqaat khatam karne ka elaan kiya hai. Tafseelat ke mutabiq Misar ke dar-ul-hukoomat Cairo mein Arab league ke ijlaas mein Palestini Authority ke sarbarah Mahmood Abbas ne kaha ke hum ne Israel ko aagah kar diya hai ke un ke sath kisi qisam ka koi talluq nahi rakhenge aur America ke sath bhi, Jis mein security taluqaat bhi shaamil hain.

Wazeh rahay ke Israel aur Palestini Authority ki security forces maqboza maghribi kinare mein taweel arsay se ek dosray se taawun kar rahi then. Palestniun  ka muaqqaf hai ke sadar Trump ne un ke liye aisi riyasat tajweez ki hai jo mukammal khud mukhtaari se mahroom hogi. Ye riyasat hissoun Bakhrun mein hogi. Jisay rahdaryoun, Sadkoun aur under paas se joda jayega. Palestini sadar Mahmood Abbas ne Americi aman mansoobay ka jawab ek jumlay mein ye keh kar diya hai ke koi ek Palestini bhi Americi sadar ko aisa nahi mileyga jo Baitul Muqaddas ke baghair mojooda shakal mein aman mansoobay ko qubool karle .
Palestini darya se samandar tak apni riyasat ke tareekhi naqshay ko azber kiye hue hain.

Aman mansoobay par Americi sadar ka muaqqaf hai ke 2 reyasti formulay par mushtamil aman mansoobah haqeeqat pasandana hai. Palestineon ka muaqqaf hai ke is mansoobay mein un ke buneadi haqooq khatam kar diye gaye hain. Al Quds ko Americi aman mansoobay mein Israeli riyasat ka dar-ul-hukoomat qarar diya gaya hai. Al Quds ke baghair masla Palestine ka koi bhi hal ahal Palestine ko qubool nahi. Americi aman mansoobay mein June 1967 ki sarhadoun mein raddo badal kiya gaya hai. Palestini aqwam mutahidda ki qarardadoun ke mutabiq is mein kisi raddobaddal ke rava daar nahi.

Palestini panah guzinoun ki watan wapsi aur garbh Urdan mein Israeli abadiyoun ko hataane par Palestini bazid hain jabkay Americi aman mansoobay mein un dono mutalibaat se inkaar kiya gaya hai. Americi aman mansoobay mein Baitul Muqaddas, Yahodi bastiyoun 1967 ki sarhadoun, Badi aur fazai hudood aur garbh Urdan par Israel ka qabza tasleem kiya gaya hai. Palestineon ko ye sab kuch qubool nahi. Americi aman mansoobah 181 safhaat par mushtamil hai. Kayi ahem nakaat se Palestineon ko ikhtilaaf hai. Aman mansoobay mein Baitul Muqaddas ko Israel ka mushtarqa dar-ul-hukoomat mana gaya hai aur Al Quds ke qareeb waqay qasbay Abu Dis ko jis ka raqba 4 murabba Kilo Meter se ziyada ka nahi Palestini dar-ul-hukoomat tajweez kiya gaya hai.

Palestini is mansoobay ko mustard karte hain aur mashriqi Al Quds ko jahan Masjid Aqsa aur muqaddas maqamat mojood hain apna dar-ul-hukoomat banana chahtay hain. Usay surkh nishaan mantay hain. Americi aman mansoobay mein Israel ko ghor Urdan sameit garbh Urdan ke mutadid ilaaqoun par Israeli baladasti tasleem ki gayi hai. Is ke tehat Israeli bastiyan bhi aati hain jahan 4 lakh yahodiabadkar basey hue hain. Palestini apni riyasat ka atot hissa honay ke natey aghwar ke ilaqay ko 99 saal tak ke pitay par dainay ki tajweez pehlay se hi mustard kar chuke hain.

Americi aman mansoobay mein ilaaqoun ke tabadlay ki bat-kahi gayi hai. Is ke tehat Palestineon ko sehra al naqab ke kuch ilaqay diye jayen ge jabkay is ke badlay Palestineon ko Yahodi bastiyan apne ilaaqoun mein barqarar rakhnay ki pabandi lagai gayi hai. Palestini apne ilaaqoun mein Yahodi bastiyon ko mustard kar chuke hain. Aman mansoobay ke tehat Palestineon ko tasleem karna hoga ke Israel Yahodi riyasat hai. Ye Palestineon ki tareekhi aur mazhabi rivayet ke sara sar manafi hai aur aisa karne par Israel mein mojood Arab bashindoun ka mustakbil khatraat se dochar ho jayega.’ Palestine ne America ke aman muahiday ko mustard kardiya
sadar Trump ke mansoobay mein Palestini panah guzinoun ka masla Israel se bahar hal karne ki baat kahi gayi hai. 10 baras tak salana 5 lakh panah guzeen Muslim reyastoun mein abad karne ki tajweez di gayi hai. Is ka matlab ye hai ke panah guzinoun ki watan wapsi ka haq mustard kar diya gaya hai. Palestini Authority neh maazi mein tajweez kiya tha keh ek muqarara tadaad mein panah guzinoun ko watan wapas anay ka hak diya jaye aur deegar ko muawza dainay par aktafa kiya jaye lekin ye baat tasleem nahi ki gayi thi.

Aman mansoobay mein tajweez kiya gaya hai ke Palestini Authority ya kisi aur fareeq ko jo aalmi baradri ke liye qabil qubool ho Gaza Patti ka control dediya jaye. Ye kaam Hamas ki manzoori ke baghair anjaam nahi diya ja sakta. Aman mansoobay mein garbh Urdan aur Gaza ke darmain mehfooz guzar gaah ka qayam tajweez kiya gaya hai. Ye pehlay se hi mojood hai. 44 Kilo Meter taweel raahdaari 1999 hamza mein khol di gayi thi lekin 2000 se Israel usay band kiye hue hai.
Sadar Trump ke mansoobay mein Urdan aur Palestine ke darmain azad tijarti zone qaim karne ki baat kahi gayi hai. Samaan Urdan ke Airport se bar aamad karne ki tajweez rakhi gayi hai.

America ke sath bhi tijarti muahiday ka imkaan zahir kiya gaya hai. Ye saari tajaweez aisi hain jo bohat saari gathiyan suljhaye baghair hal nahi hosaktein aur har haal mein Israel ko baala dasti rahay gi. Masjid Aqsa mein namaz se mutaliq kaha gaya hai ke tamam mazahab ke pairokaroun ko pur aman tareeqay se ibadat ka mauqa diya jaye ga. Sadar Trump ke mansoobay ke tehat Al Quds ke Palestini bashindoun ko Israel ya Palestine mein se kisi ek ki shehriat ka intikhab karna hoga. Ye nuqta Palestineon aur musalmanoun ke liye khatarnaak hai. Is mein yahudion ko Masjid Aqsa mein ibadat ka haq diya ja raha hai jo Israel aur Udan ke darmain tey shuda zameeni samjhote ke khilaaf hai. –YTN STAFF