Sunday, May 11, 2025
HomeTrending NewsPalestine mein Sehri ke waqt dhol bajanay ki rivayet aaj bhi barqarar

Palestine mein Sehri ke waqt dhol bajanay ki rivayet aaj bhi barqarar

Ramallah: Ramadan Mubarak mein Sehri ke liye roza daaroun ko jagana nah sirf bar e sagheer balkay Arab mumalik ki  be qadeem riwayaat mein shaamil raha hai. Report ke mutabiq jadeed Technology ke daud mein is qadeem rivayet ko barqarar rakhnay ke liye Palestine ki Gaza Patti ke hajjaam Abdal khaliq apne aabadi kaam ke liye maidan mein hain. Coronavirus ke baais waqti tor par. Hajamoun ki dukanain badn kardiye janey ke pesh e nazar ek hajjaam Abdalkhaliq Abbu Utwan dhool baja kar sehri ke liye roza daaroun ko jaganay ka silsila jare rakhay hue hai.

Unhon ney kaha hai ke har saal mah muqaddas mein shehar ke rehaishi ilaaqoun mein mas-harati ka kaam kar raha hai. Sehri se qabal ghoom phir kar roza daaroun ko sehri ki tayari ke liye jaganay ki zimma daari nibhata hai. Abdulkhaliq ney kaha ke ye ek rivaaj hai jo hamaray haan nasal da-nasal raaij hai jo bohat se deegar Muslim mumalik mein bhi paaya jata hai. Un dinoun sehri se qabal jab Abdalkhaliq shehar ki gallioun mein dhol bajate guzarta hai to aksar shehri aur bachay apne gharroun se bahar aakar ya khirki mein se usay dekhte hain aur a seen ki paziirai karte hain.

 Abbu Utwan ney kaha hai ke wo guzashta 7 baras se janoobi Gaza ki Patti aur qareebi shehar Rafa mein ye khidmaat anjaam day raha hai.

Ek surkh rang ki topi aur safaid scarf ke sath Palestine ka riwayati libaas zaib tan kiye wo apne ghar waloun ke sath sahur khana khanay ke liye ghar wapas anay se qabal taqreeban 90 minute tak apna dhol pitte huve mukhtalif galiyoun aur sadhkoun par rehta hai. Abdul Khaliq ne kaha ke wo logoun ke shoq aur tareef ki wajah se sehri par jaganay ka ye kirdaar ada karna pasand karte hain. Halanke Computer, TV aur deegar takneeki taraqqi ney bohat saaray logoun ki aadaat aur tarz zindagi ko tabdeel kardiya hai lekin is kirdaar ko abhi bhi qabil ehtram samjha jata hai aur Ramadan ki is khaas rivayet ne apni maqboliat barqarar rakhi hai.

Israeli naka bandi aur siyasi bohraan ne Gaza ki Patti mein basnay walay 20 lakh Palestine ki zindagi ke tamam pehloun ko buri terhan mutasir kiya hai lekin Abdal Khaliq ke dhol bajanay ke is josh ko kam nahi karsaka. Coronavirus ki waba ki wajah se is hajjaam ke apne Hair Dressing Salon mein kaarobar nahi hai taham is ne ye kaam raza karana tor par jari rakha hai. Apne is kaam aur kirdaar ke aizaz mein baaz auqaat logoun se naqad raqam aur deegar ahaef bhi meltay hain jis se muashi mahol ko behtar karne mein madad milti hai.

Is martaba Ramadan Ul Mubarak ke mauqa par is ka ek 25 sala dost Mohammad Shahaat bhi is ke hamrah hai is ne kaha hai ke inhen mazhabi rivayet ko barqarar rakhtay huve apne hum vatnoun ke cheharoun par muskorahatein bekhirte huve aaccha lagta hai. Mazeed kaha ke ye rivaaj Ramadan Ul Mubarak ki ahem khususiyaat mein se ek hai. –YTN STAFF