Friday, May 3, 2024
HomeTrending NewsPalestine mein corona ke khilaaf sakht iqdamat, jurmanoun ka elaan

Palestine mein corona ke khilaaf sakht iqdamat, jurmanoun ka elaan

Ramallah: Palestine hukoomat mein Coronavirus se bachao ke liye muqarrar kiye gaye zawabit ki khilaaf warzi par jurmanoun ka elaan kiya hai. Palestine Wazeer e Azam ne SOP ki khilaaf warzi karne par muqarrar sazaon ke lahe amal par dastagat karne ke baad wizarat dakhla ko bhijwa diya hai taakay SOP par sakhti se amal dar-aamad karaya jaye.

Web News Palestini Media ke hawalay se likha hai ke awaami maqamat par tibbi Mask aur dastanay pahannay zaroori hain aisa nah karne waloun par 20 Urdani dinar ( 105 Saudi Riyal ) se 50 dinar ( 70 Americi Dollar ) Taq jurmana kiya jayega.

Palestine hukoomat ne kaha hai ke tamam afraad jo bhi gharoun se baher niklen laazmi tor par tibbi Mask aur dastanoun ka istemaal karen na karne waloun ko jurmanoun ka saamna karna padega. Ashyae khoronosh faraham karne walay tijarti idaroun mein kaam karne walay muqarara SOP ki khilaaf warzi karne par 100 se 500 Dinar ( 705 Americi Dollar ) jurmana kiya jayega jabkay ek haftay ke liye dukaan ya tijarti markaz ko bhi mohar band kar diya jayega.

Jari kiye janey walay SOP mein mazeed kaha gaya hai ke Public Transport se munsalik afraad agar muqarara qawaid ki khilaaf warzi ke murtakib paye gaye to un par bhi 50 se 100 dinar jurmana aur ek haftay ke liye un ka License mansookh kar diya jayega.

Hukoomati bayan mein mazeed kaha gaya hai ke ek hi khilaaf warzi dobarah karne ki soorat mein jurmana ki raqam bhi dugni kardi jayegi. Wazeh rahay Palestini hukoomat ki janib se bhi Coronavirus ke hawalay se ahteyati tadabeer ikhtiyar karte huve logoun ko hidayat ki gayi hai ke wo un par sakhti se amal karen taakay Corona ki waba ka jald az jald khtama hosakay. Wizarat sahet ne kaha hai ke Corona ka wabai marz insanoun se taizi se ek se dosray mein muntaqil hota hai is liye ahteyati takazey ke pesh e nazar samaji faaslay ke usool par sakhti se amal daraamad ko yaqeni banaya jaye. –YTN STAFF