Tuesday, May 21, 2024
HomeSliderPalestine ki azadi ke liye jehaad sharai fareeza nahi

Palestine ki azadi ke liye jehaad sharai fareeza nahi

Riyadh: Saudi Arab ke ek mumtaz mufti ney daawa kiya hai ke Palestine ki azadi ke liye jehaad karna sharai fareeza nahi hai. Saudi mufti ney Israel aur UAE ke mabain muahiday ke baad apne Twitter page par likha Palestine ki azadi koi mazhabi fareeza nahi hai.

Saudi mufti ney Israel ke sath Saudi taluqaat ka difaa karte hue mazeed likha ke ju hamari taaqat se baher hai is ka anjaam dena sharai fareeza nahi hai kyunkay musalmanoon ke paas Palestine ko azad karwanay ki taaqat nahi hai.

Mufti ke Twits par Saudi sameit UAE mumalik ke shehrion neh sakht radd-e-amal ka izhaar kiya aur un ki shadeed muzzamat ki. Arab musalmanoon neh Saudi mufti Badar Al Amar ke Twits par sakht barhami ka izhaar karte hue likha ke Badar Al Amar wahi kehte hain jo inhen hukum milta hai.

Wazeh rahay ke Americi sadar ke musheer aala aur damaad Kushner kaha hai ke Saudi Arab aur Israel ke darmain safarti taluqaat qaim hona yakeeni hai. Khayaal rahay ke is se qabal Saudi Arab ke ek aur mufti neh bait ul Muqaddas ko Israel ke hawalay karne ka mutalba kiya tha.

Ahmed Bin Saeed Al Qarni ne pay dar pay kayi Twits mein ye daawa kiya tha ke Masjid Al Aqsa ki raah mein marjanaa shahadat nahi hai. Ahmed Bin Saeed Al Qarni ne kaha tha ke kya Palesteeni musalmanoon ke khoon ki hurmat Masjid Al Aqsa se kam hai? khuda se daro aur awam ke khoon ko Mubah nah karo. Kon kehta hai ke Masjid Al Aqsa ki raah mein mar jana shahadat hai? Al Qarni ne Palesteeni awam se ye darkhwast ki thi ke wo apne rehbaron ki baat nah manen kyun ke Palesteeni awam shikast se rubaroo honay wali jung ka eendhan ban chuke hain.

Is mufti ney apne daaway ki taied mein likha tha ke, Yahodi Masjid Al Aqsa ko nahi choden ge, Wo ek aisi makkar lomdi ki manind hain jisske haath tiddi lag gayi ho. Uskay ilawa ye ke Arab mumalik Bait Ul Muqaddas ki azadi ke liye koi fouj nahi bhejen ge. Is liye Hamas jo kaam kar rahi hai wo mehez halakat hai aur khuda ne eska qatee hukum nahi diya hai. Saudi Arab ke is mufti ney daawa kiya tha ke Quran-o-Sunnat mein koi aisi daleel nahi jo ye saabit kere ke jung ke liye lazim afraadi qowat aur hathyaar ke baghair dushman se takkar lena laazmi ho.