Tuesday, May 21, 2024
HomeLatest NewsPalestine Aur Israel Ki Taaza Kasheedgi, Jung Bandi Khatray Mein

Palestine Aur Israel Ki Taaza Kasheedgi, Jung Bandi Khatray Mein

Gaza : 2 alag alag waqiyat mein Israeli fouj ke hathon chaar falastiniyoun ki halakat ke baad shumali Gaza patti mein Israeli  fazai hamlay mein ek aur Falasteeni ki halakat ke sath jung bandi moahida bazahir khatray mein padhgya hai. Israeli fouj aur Gaza ke jung jivan ke mabain kasheedgi aur jharpon mein taaza kasheedgi ke douran Gaza ki wizarat sahet nay mazkoorah jani nuqsanaat ki ittila di hai. Israel nay bhi do fouji zakhmi honay ka daawa kiya hai .

Kasheedgi ke taaza waqiyat ke baad kaha ja raha hai ke Israeli Wazeer e Azam Benjamin Nethanyu qaumi salamti ke musheeron se mushawarat karne walay hain. taaza halakat khaiz waqiyat mein paanch Falasteeni halaak aur 51 zakhmi bhi hue hain. Imad naseer Nami ek 22 sala Falasteeni Bait hunun mein is waqt halaak hogaya jab Israeli jungi tayyaron nay subah is mahsor ilaqay ko nishana banaya. is se pehlay Gaza se janoobi Israel par darjanon rocket barsaye gaye .

Israeli fouj nay kaha hai ke yeh fazai hamla sarhad par honay wali Firing ke rad-e-amal mein kiya gaya tha jis mein iske do fouji zakhmi hogaye they. Gaza ki wizarat sahet ke mutabiq do Falasteeni jahan fazai hamlon ki zad mein aakar halaak hue wahein ek 19 sala Falasteeni sarhad par firing ke nateejay mein mara gaya. Israeli fazaiya ney Falasteeni ilaaqon mein aaj jo hamlay kiye hain woh Gaza patti se Israeli ilaqay ki janib qareeb 90 rocket daghe  jane ke radd-e-amal mein kiye gaye. Israeli fazaiya ke mutabiq Gaza patti se fire kardah Rockets ko difai nizaam ke zareya fiza hi mein nakara bana diya gaya. kam az kam aisay do maqamat ko nishana banaya gaya jahan se Israeli ilaaqon ki janib rocket daghe ja rahay they .

Israel aur Palestine ke mabain tazah kasheedgi ka aaj dosra din hai. Israeli fouji tarjuman ke mutabiq sarhad par Israeli fouj par hamla kiye jane  ke bad jis mein ek fouji ziyada zakhmi jabkay dosra fouji mamooli zakhmi hua Gaza ki hukmran jamaat Hamas ki ek thikaane ko nishana bnayagya. jummay ke ehtajaji muzahirey mein 5 hazaar 200 falastiniyoun ney shirkat ki. abhi Hamas ki taraf se falastiniyoun ki wabastagi ke hawalay se koi tabsarah samnay nahi aaya lekin unhon ney Israeli jarhiyat ko jawab dainay ke azm ka izhaar zarur kiya. wazeh rahay ke Falasteeni ehtajaji muzahiron mein guzashta ek baras se shirkat kar rahay hain jo kabhi kabhi pur tashaddud ho jatay hain. Hamas aur Israel 2008 se ab tak 3 jaangein ladh chuke hain. Misr aur  aqwam-e-mutahidda ki silisi mein jung bandi ka moahida arzi aman ka sabab zaroor bana lekin halaat ek martaba phir bigadte nazar  arahay hain . –YTN STAFF