Monday, April 21, 2025
HomeSliderPalestine aur Baitul Muqaddas ke mutaliq Policy mein koi tabdeeli nahi huvi:...

Palestine aur Baitul Muqaddas ke mutaliq Policy mein koi tabdeeli nahi huvi: OIC

Riyadh: Islami taawun tanzeem ( OIC ) ke secretary general Dr Yousuf Al-Othaimeen ney kaha hai ke masla Palestine aur Baitul Muqaddas se mutaliq OIC ki policy ghair mutanazil hai jo maazi mein thi wohi haal mein hai aur yahi policy mustaqbil mein bhi rahay gi. Baitul Muqaddas aur Palestine ka masla OIC ka keldi masla hai. Ye is ke ittehaad, Is ki taaqat aur is ki mushtarqa Islami jad-o-jehad ka sarchashma hai. OIC ke tamam rukan mumalik is hawalay se ek page par hain.

OIC Israel ke ghasibana qabzay ko khatam karwane aur Palesteeni awam ke jaaiz haqooq dilanay ke liye mushtarqa jad-o-jehad par mutfiq hai. Saudi khabar rasan idaray SPA ke mutabiq Dr Al-Othaimeen ne bayan mein kaha ke wo rukan mumalik ke sath mushawarat karkay is nateejay par puhanche hain ke Arab aman formula 2020 Strategic rasta aur tareekhi hal hai. Arab Israel tanaza ka jamia aur munsifana hal Arab aman formula ke tehat kiya jana zurori hai.

Al-Othaim ney kaha ke OIC Arab aman formula ki paband thi, Hai aur rahay gi. Aman bain ul aqwami qanoon aalmi qanooni qarardadon, Arab aman formula aur do reyasti hal ke tasawwur par qayam ho. Aman amal na qabil taqseem ikai hai. OIC ke rukan mulkon aur qaabiz Israel ke darmain mamool ke taluqaat, Maqboza Palestine Arab ilaqon par se ghasibana qabza khatam honay ke baad hi qaim hon ge. Unhoun ney mazeed ke ke Palesteeni araazi ko Israeli khud mukhtaari mein shaamil karne aur Yahodi bastiyaan basanay se mutaliq Israel ke yaktarfa iqdamaat ghair qanooni hain.