Friday, May 3, 2024
HomeIndiaPakwaan Gas ki qeematoun mein izafah ke baad Modi hukoomat par shadeed...

Pakwaan Gas ki qeematoun mein izafah ke baad Modi hukoomat par shadeed tanqeed

New Delhi: Pakwaan Gas Cylinder mein izafah ke baad Opposition jamaten Modi hukoomat par shadeed tanqeed kar rahi hain. Is maamla par Congress ne kaha hai ke Thalinomics ki baat karne wali hukoomat ka pakwaan Gas ki sherhoun mein be tahasha izafah karna is ke doghlay kirdarko zahir karta hai aur Cylinder ki qeemat 144 rupay badha kar Modi hukoomat ne awam ki jaib par Current mara hai.

Congress ke Media Incharge Randeep Singh Surjewala ne Twit kiya Modi jee ne pakwaan Gas ki qeemat 144 rupay badhai hai. Is ne 2019 se 2020 yani ek saal mein Gas ki qeemat 200 rupay badha di. Delhi mein 1Cylinder 858.50 rupay, Mumbai mein 829.50 rupay, Chennai mein 881 rupay aur Kolkata mein 896 rupay ki sharah se farokht ho raha hai. Current ki baat karte karte awam ki jaib par hi current maar diya.

Congress party ke sarkari twitter se bhi Modi hukoomat par nishana lagaya gaya hai. Twit mein likha hai wasail ke muamlay mein jo mulk hamaray samnay therte tak nahi, Aaj wo bhi apne awam ko hum se sasta diesel de rahay hain lekin BJP hukoomat awam ki jaib par musalsal hamla kar rahi hai.

Modi Nami ki zabardast kamyabi ke baad Thalinomics bhi barbaad. BJP alfaaz aur mahawray gadhney mein maahir hai lekin is se awam ka pait nahi bharta. Thalinomics jaissa jumla aada karte huve pakwaan Gas ki qeematoun mein izafah BJP ke doghlay kirdaar ko zahir karta hai.

Pakwaan Gas Cylinder ki qeemat mein be tahasha izafah ke khilaaf All India Mahela Congress ne 13 Feb ko mulk geer pemanay par muzahira karne ka elaan kiya hai. Mahela congress ke bamajab ek sath pakwaan Gas Cylinder ki qeemat mein is qader izafah qabil bardasht nahi hai, Is liye jumaraat ke roz sadak par nikal kar ehtajaji muzahira kiya jayega.

Wazeh rahay ke mulk ki sab se badi Oil marketing company Indian Oil Corporation ne aaj se baghair sabsadi wala 14.2 kilogram ka gharelo pakwaan Gas Cylinder 144. 50 rupay mahinga kar diya hai jabkay sabsadi walay Cylinder par lagnay walay GST mein bhi izafah kiya gaya hai. –YTN STAFF