Monday, June 2, 2025
HomeLatest NewsPakistani wazeer-e-azam Imran Khan ne Ehsaas langar scheme ka iftitah kiya

Pakistani wazeer-e-azam Imran Khan ne Ehsaas langar scheme ka iftitah kiya

Islamabad : Pakistani wazeer-e-aaazm Imran Khan neh ”Ehsaas saelani langar scheme ka iftitah anjaam diya. is scheme ke iftitah ke baad wazeer-e-aazam ki Muawin khusoosi Dr Sania Nishtar neh bataya ke ”Mazkoorah Ehsaas saelani scheme“ ke tehat rozana 600 zaruratmand afraad ko muft khana taqseem kiya  jayega, aur is scheme ko deegar shehroun mein bhi shuru kiya  jayega, aur mulk bhar mein 112 langar khaney khole jayenge.

Iftitah ke mauqa par Imran Khan neh kaha ke’ ehsaas programme gurbat kam karne ka sab se bada program hai, is programme ke tehat langar khanoun ke liye funds diye jayenge. Imran Khan neh kaha ke ”Mehngayi badha kar, ghareeb awam se tax akhatta kiya jata hai, lekin hum isko ulta kar rahay hain, hum karobari tabqa ki madad kar rahay hain, is liye ke woh paisa kamaain aur iss se hum tax akhatta karen aur woh tax ka paisa hum kamzor tabqay par kharch karen. Jaisa ke china mein kiya gaya hai.

Imran Khan ne kaha ke hamari hukoomat ko 13 mah hue hain aur log pooch rahay hain ke ”Kahan hai naya Pakistan ? to zaroor yeh mulk bhi badlayga aur bohat si tabdeelian ayengi.

Unhon neh kaha ke mulk ke hospitals mein tabdeeli aarahi hai, police nizam mein tabdeeli layi jarahi hai. aur aam aadmi ki zindagi behtar bananay ke liye kaam kiye jarahay hain, langar khanaay kholnay ka mansoobah hai. unhon neh kaha ke abhi 13 mah hue hain, magar logoun mein sabr nahi hai, woh naye Pakistan se mutaliq sawal pooch rahay hain. –YTN STAFF