Sunday, May 12, 2024
HomeSliderPakistani Team par pabandi ke liye Adalat mein darkhwast

Pakistani Team par pabandi ke liye Adalat mein darkhwast

Karachi: Cricket World Cup mein Pakistani team ki naaqis karkardagi aur Hindustan ke khilaaf shikast ke baad team ki pabandi se mutaliq adalat mein darkhwast dair kar di gayi. Gujranwala mein Wakeel Manzoor Khadeer ney Senior Seoul Judge Raye Afzal Kharlki adalat mein dair ki. Mazkorah darkhwast mein Chairman Pakistan Cricket Board (PCB) aur tamam khiladiyon ko fareeq banaya gaya. Darkhwast guzaar ney muaqqaf ikhtiyar kiya ke Pakistani team ki karkardagi ke baais qoum ki Dil Aazari huwi aur Mulk ka Waqar bhi majrooh huwa. Is mein mazeed kaha gaya ke jahan awam bunyadi zaroriat se mahroom hon to wahan Cricket par croreon rupay kharch nahi kiye jasakte. Darkhwast guzaar ney adalat se istada ki ke World Cup mein Pakistan ke deegar Matches mansookh karkay usay fori wapas bulaney ka hukum diya jaye jabkay Selection Committee ko tahleel karkay Cricket Team par mukammal pabandi ayed ki jaye. Senior Seoul judge Raye Afzal Kharl ney darkhwast samaat ke liye se ll Judge Abrar Ali ko tafweez kar di jinhon ney PCB hukkaam ko 20 June ko record sameit talab karliya.

Khayaal rahay ke 16 June ko Manchester mein khailay gaye match mein Hindustan ney Pakistan ko 89 runs se shikast day di thi, jis ke baad team ke liye World Cup ke Simi final mein pohanchna bhi mushkil hogaya. Pakistani team ko nah sirf shikast ki wajah se tanqeed ka saamna karna padraha hai balkay team ki naaqis fielding aaur Captain Sarfraz Ahmed ki jamaayion ney bhi shaiqeen Cricket ke ghusse ko mazeed huwa di. Is ke ilawa samaji rabton ki Websites par team ke kuch khiladiyon ki Shoiab Malik aur un ki ahliya Sania Mirza ke hamrah Viral honay wali Videos aur tasaveer ke baais team ki zabita e ikhlaq ki khilaaf warzi par bhi sawal uthaye jarahay hain. Taham Pakistan Cricket Board (PCB) ney is hawalay se vazahti bayan jari kiya tha jis mein board ney media par chalne wali khabron ko mustard karte huwe kaha tha ke Hindustan ke khilaaf match se qabal Pakistani khiladion ney zabita e ikhlaq ki koi khilaaf warzi nahi ki hai.