Sunday, May 19, 2024
HomeLatest NewsPakistani Team 1992 Ki Tareekh Dohranay Lagi, Muqabloun Ke Nataij Mein Haeran...

Pakistani Team 1992 Ki Tareekh Dohranay Lagi, Muqabloun Ke Nataij Mein Haeran Kan Mumasilat

London: Pakistan ne world cup match mein Newzealand ko shikast day kar 1992 ke world cup ki tarhan fatah wo shikast ke tasalsul ko barqarar rakhtay hue ek martaba phir event mein na qabil-e-shikast Newzealand ko shikast di. world cup ke har guzarte match ke sath hi Pakistan ki 1992 ke world cupp ki futuhat wo shikast ke sath mumasilat har kisi ke liye haeran kan hai aur yeh cheez is had tak mumasilat rakhti hai ke ab ICC ne bhi is cheez ko ahmiyat dena shuru kar di hai.

1992 mein champion ban’nay wali Pakistani team ko bhi apne pehlay match mein west indies ke khilaaf ek tarfa muqablay ke baad shikast hui thi aur is martaba phir event ka aaghaz west indies ke khilaaf bad tareen shikast ke sath hua hai. 27 saal qabal bhi Pakistan ne pehlay match mein shikast ke baad dosra match jeeta aur teesra match barish ki Nazar hua aur yahi tasalsul is martaba bhi barqarar raha. 1992 ke world cup mein bhi Pakistan ko chouthay aur panchwin match mein shikast hui thi aur is martaba bhi aisa hi hua lekin is ke baad Pakistani team ne event mein wapsi ki aur is martaba bhi aisa hi ho raha hai. 1992 mein Pakistan team jab apna chhata match jeeti to man of the match baen haath ke batsmen Aamir Sohail thay, is martaba jab team chhata match jeeti to man of the match baen haath ke batsmen Haris Sohail ban gaye. 27 saal qabal bhi Pakistan ki umeeden Australia se wabsta theen jis ne is waqt west indies ko shikast day kar Pakistan ki Semi final mein rasai ki raah hamwar ki thi aur is martaba bhi Australia ne mezban England ko maat day kar unki Semi final mein rasai ki umedoun ko bada dhaka pohanchaya aur Pakistan ko faida mila hai .

Yaad rahay ke 92 mein bhi Pakistan ka saamna karne se qabal Newzealand koi match nahi haara tha aur is baar bhi kiwis na qabil-e-shikast thay. yeh mumasilat is had tak haeran kin hai ke 1992 mein bhi Pakistan aur Newzealand ka match chaharshambe ko khela gaya tha aur is martaba bhi Pakistan ka Newzealand se match chaharshambe ko khela gaya aur Pakistani team ne ek martaba phir na qabil-e-shikast Newzealand ko shikast di hai. sirf yahi nahi balkay Pakistan ki janib se 1992 mein bhi do wickten jald girnay ke baad Rameez Raja ne century score ki thi aur is martaba Babar Azam ne century bana kar team ko fatah se humkenar karwaya. Pakistani cricket shaiqeen 1992 aur 2019 mein is qader yaksaniyat dekhnay ke baad par umeed hain ke Pakistan team ke liye world cup ka nateeja bhi waisa hi ho, jaissa 1992 mein hua tha aur team champion ban’nay ka aizaz haasil kare. –YTN STAFF