Wednesday, May 15, 2024
HomeSliderPakistani hindun ne bhi shehriat tarmeemi qanoon ko mustard kardiya

Pakistani hindun ne bhi shehriat tarmeemi qanoon ko mustard kardiya

Dubai: Hindustan is waqt ehtijaj ki is aag mein jal raha hai jo ke mulk ke dastoor, Jamhoriat, Ittehaad ko khatam karne ki saazish ki khilaaf bharak uthi hai kyunkay Modi hukoomat ki janib se wazeer e dakhla Amit Shah ne is shehriat tarmeemi qanoon ko nafiz kiya hai jo ke hindustan ke ittehaad ko todnay ke siwa kuch nahi. Is qanoon ke khilaaf mulk ke har gosha mein awam ki barhami aur ehtijaj har lamha urooj ki simt agay badh rahay aur dheeray dheeray is ne hindustan ke sarhadoon ko uboor karte hue aalmi manzar nama mein apna ehsas dilana shuru kardiya hai ye hi wajah hai ke pehlay America ne phir aqwam mutahidda ne Modi hukoomat ke khilaaf apna muaqqaf wazeh kiya hai lekin ab jin padosi mumulk ke aqlitoun ko hindustani shehriat dainay ka jhuta dhunk BJP hukoomat kar rahi hai is ka mazeed bhanda khud Pakistan ke aqlituon ne phodna shuru kardiya hai kyunkay Pakistan ke Hinduon ne khud shehriat tarmeemi qanoon ( Shataq ) ko mustard kardiya hai.

Pakistani aqlitoun ne musalmanoun ke sath imtiazi sulooq karne walay naye shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ki shadeed muzammat ki hai. Unhoun ne hindustan ki janib se naye qanoon ke tehat inhen shehriat dainay ki pesh kash ko bhi mustard kardiya hai. Anho ne kaha hai ke wo hindustan mein panah lainay mein dilchaspi nahi rakhtay aur unhoun ne hindustani Wazeer e Azam Narendra Modi ki insaaniyat soaz pesh kash ko mustard kardiya.

Gulf news mein shaya report ke mutabiq Dubai mein muqeem Pakistani hindu Dilip Kumar ne kaha hindustan se mutaliq qanoon insaaniyat ke Rohani usooloun aur sanatan dharam ke sara sar khilaaf hai. Ye tabqati, zaat paat aur firqay se qata nazar, Tamam hinduo par mazhabi tor par mutyeen kardah riwayaat ke khilaaf hai aur ye insaaniyat ke khilaaf hai kyunkay aaj saari duniya mazhab, Rang-o-nasal ke bhaid bhao ke khilaaf ladai kar rahi hai to doosri janib Modi mazhab ke naam par siyasat ka gandah khail khail rahay hain.

Ba-hasiat ensaan, Hum kisi bhi mazhabi pairwi se qata nazar kisi se imtiazi sulooq nahi kar saktay hain. Hum nahi chahtay ke hindustan ke musalman dehshat gardi ka saamna karen. Kumar ne mazeed kaha ke hum is qanoon ki muzammat karte hain kyunkay Pakistan ke hinduo ke liye kisi bhi tabqa par mazhabi zulm-o-sitam na qabil qubool hai.

Sharjah mein muqeem Pakistani Christian Community ke rehnuma ne kaha ke Pakistani Isaai baradri ne bhi naya shehriat tarmeemi bil mustard kardiya. Hum Pakistan ke Isaai, Hindustan mein panah lainay mein zara bhi dilchaspi nahi rakhtay hain. Mujhe ye kehna zurori maloom hota hai ke Modi ka shehriat bil aqlitoun ka bilkul bhi ehtram nahi karta hai kyunkay ye imtiazi sulooq aur bunyadi insani haqooq ke manafi hai.

Ye saari duniya par ayaan hai ke Pakistan, Bangladesh aur Afghanistan mein aqlitoun ko harasan karne ka hawala dete hue, Hindustani parliament ne haal hi mein apne shehriat ke qanoon mein tarmeem karte hue hindu, Bodh, Isaai, Paarsi aur Jain baradrioun ko mazkoorah mumulik se naqal makani karne walay shehrioun ke haqooq ki pesh kash ki hai. Shehriat tarmeemi qanoon ek naya manzoor shuda qanoon hai jis ka itlaq hindu, Isaai aur deegar mazhabi aqlitoun par hota hai jo hindustan mein ghair qanooni tor par muslim aksriyati mumulik Bangladesh, Pakistan aur Afghanistan se hain. Wo mazhabi zulm-o-sitam ki shaqq ke tehat shehriat ke liye darkhwast day satke hain.

Taham, Is qanoon mein musalman muhajreen ya tarikeen watan shaamil nahi hain. Ye iqdaam naqaad secular hindustan mein badalti siyasat ka wazeh ishara qarar day rahay hain. Hindustan mein hindu abadi hai lekin is mein 200 million musalman aur deegar aqlitin abad hain. Shehriat act 1955 ki ye tarmeem jis ke tehat darkhwast dahinda ( mazhab ya watan se qata nazar ) pichlle 14 saal mein 11 mein hindustan mein muqeem hona zurori hai, Is zaroorat ko 11 saal se kam karte hue 6 saal tak kardiya gaya hai lekin ye sahoolat sirf hinduo, Sikhnon, Budhist, Jain, Paarsi aur tenu mumulik ke Isaion ke liye hai jabkay un 3 mumulk se naqal makani karne walay musalmanoun ko hindustan ki shehriat nahi dijaye gi. Bazahir ye ziyada mutanazia qanoon nahi deekhaee day rahay hai lekin is ke daur ras nataij intahi khatarnaak honge isi wajah se hindustan bhar ke ilawa duniya ke kayi ek maqamat par is naye qanoon ko mustard karne ke liye is ke khilaaf sakht ehtijaj horaha hai.

Is se qabal Pakistan hindu council ke sarparast, Raja Asaar Manglani ne apne tabqay ki tarjamani karte hue kaha ke Pakistan ki hindu baradri mutafiqa tor par is bil ko mustard karti hai, Jo hindustan ko firqa waranah khutoot par taqseem karne ke mutradif hai. Ye hindustani Wazeer e Azam Narendra Modi ko Pakistan ki poori hindu baradri ka mutafiqa pegham hai. Ek sachey hindu kabhi bhi is qanoon saazi ki himayat nahi karen ge. Unhoun ne mazeed kaha ke is qanoon ne hindustan ke apne aeen ki khilaaf warzi ki hai.

Express Tribune ne repot kiya Pakistani parliament ke ewaan baala ke ek isaai rukan senator Anwar Laden ne bhi kaha ke is qanoon ka maqsad mazhabi jamaatoun ko ek dosray ke khilaaf khada karna hai. Ye bunyadi insani haqooq ki sarih khilaaf warzi hai. Pakistan ki oppostion peoples party ke ek rehnuma Laden ne kaha ke hum usay wazeh tor par mustard karte hain. Unhoun ne kaha is terhan ke ghair munsifana aur ghair manqola iqdamaat ke zariye Modi hukoomat mazhabi jamaatoun ko ek dosray ke khilaaf khada karna chahti hai unhoun ne mazeed kaha ke is qanoon ke zareya Modi hukoomat hindustan ke ittehaad ko todna chahti hai.

Pakistan ke Sikh baradri ne bhi is mutanazia qanoon ki muzammat ki hai. Pakistan mein Baba Guru Nanak ke rehnuma Gopal Singh ne kaha sirf Pakistani Sikh hi nahi balkay poori duniya mein Sikh baradri bhi is iqdaam ki muzammat karti hai. Sikh baradri hindustan aur Pakistan dono hi mein ek aqliat hai. Aqliat ka rukan honay ke nate hindustan mein muslim aqliat ke dard aur khauf ka ehsas kar sakta hon. Ye mehez zulm-o-sitam hai. Singh ne Modi par zor diya ke wo aqlitoun ki bahar karne ke iqdamaat karen.

Pakistan mein hindu abadi
Pakistan mein hindu aqliat mein hain lekin abhi tak koi wazeh sarkari tadaad dastyab nahi hai, Lekin Pakistan hindu council ne kaha hai ke is waqt Pakistan mein 8 lakh se ziyada Hindu abad hain. Unki abadi 220 million abadi ka taqreeban 4 feesad hai. Wo bunyadi tour par waadi Sindh mein soobah Sindh ke shehri ilaqoun mein rehtay hain aur nisf se ziyada junoob mashriqi zila Tharparkar  mein markooz hain jo hindustan se mut-tasil hain. Pakistan ke beshtar shobo mein hindu alla maqamat par hain jin sarkari idaroun, Tijarat aur Civil service mein taleem Yafta aur mutharik hain. Council ke mutabiq, Taqreeban 94 feesad hindu soobah Sindh mein rahaish Pazeer hain aur 4 feesad se ziyada Pakistan ke soobah Punjab mein re rahay hain, Jahan is abadi ka ek chhota hissa Balochistan aur Khyber Pakhtunkhwa soboun mein abad hai. –YTN STAFF