Friday, May 17, 2024
HomeSliderPakistan mein train mein aag lagnay ke baad dhamakay se 65 musafir...

Pakistan mein train mein aag lagnay ke baad dhamakay se 65 musafir halaak, mutadid zakhmi

Islamabad : Media report ke mutabiq Pakistan ke Sobah Punjab mein Karachi se Rawalpindi janay wali train mein aag lagnay se 65 musafir halaak aur mutadid zakhmi hogaye. mehakma railway ke ek ahelkaar nay iski tasdeeq karte hue kaha ke musafir train tizgam ko jummerat ki subah Raheem yaar Khan railway station ke paas, Liaqatpoor ke shehri ilaqay ke qareeb aag lagi. Officer nay bataya ke train mein mojood ek musafir apne sath gas cylinder lekar jaraha tha, iske dhamakay ki wajah se yeh haadsa pesh aaya.

It-tila-aat ke mutabiq, musafir, mazkoora train mein Nashta kar rahay they ke yeh dhamaka hua. is compartment se wabsta teeno coach mein bhayanak aag bhadak uthi. Pakistan ke wazeer railway Sheikh rasheed Ahmed nay kaha ”2 afraad cholhe par khana bana rahay they’ aur woh khana banatay banatay tail bhi istemaal kar rahay they, jiski wajah se aag lagi. isi douran, district rescue service ke sarbarah Hussain nay bataya ke ziyada tar amwaat jalti train ke dabbay se chhalang laganay ki wajah se hoyi hain.

Is haadsa ki ittila par police maqam hadsa par pohanchi aur raahat wo bachao ki team nay train mein phansay logon ko bahar nikala aur shadeed tor par zakhmi musafiron ko hospital mein daakhil karaya gaya. aag se jhulse hue kayi musafiron ki haalat tashweesh-naak hai. –YTN STAFF