Sunday, May 19, 2024
HomeSliderPakistan mein dengue se 66 afraad ki mout

Pakistan mein dengue se 66 afraad ki mout

Islamabad : Pakistan mein is saal abhi tak dengue mein 44 hazaar se ziyada log mubtala hue hain jin mein se 66 afraad ki mout hochuki hai. is se pehlay saal 2011 mein Pakistan mein dengue ke 27 hazaar muamlay record kiye gaye they lekin is beemari se marnay walon ki tadaad 370 thi jo haliya tadaad se taqreeban 5 guna ziyada thi.

National institute of health ke amraaz ki nigrani ke shoba ke sarbarah Dr rana Safdar ne ek ittila mein bataya ke is saal duniya bhar mein dengue ke maamloun ki be-had tashweesh naak tadaad darj hui hai. unhon ne daawa kiya ke Pakistan mein deegar mulkon ke muqablay bohat ziyada behtari hui hai.

Dr Safdar ne kaha ke is saal dengue ki zad mein 44 hazaar afraad aaye hain aur is beemari se 66 logon ki jaan jacuhki hai. unhon ne kaha ke mulk ke ziyada tar ilaqoun mein dengue machar ke paida hone ka mausam taqreeban khatam hochuka hai. Unhon ne kaha ke Karachi mulk ka wahid shehar hai jahan Sindh se na sirf 94 feesad muamlay samnay aaye balkay rawan maali saal ke aakhir tak dengue ke maamloun ko tasalsul barqarar rehne ka khadsha hai.

Haliya saal mein muhayya aadado shumaar ke mutabiq mulk mein dengue ke jumla 44415 muamlay samnay aachukay hain. is mein Islamabad se 12433 muamlay, Sindh se 10142, Punjab se 9260, khaibar Pakhtunkhwa se 7346 aur Balochistan se 3051 muamlay samnay aaye hain. iske alawa 3383 muamlay deegar ilaaqon se aaye hain. Sindh mein dengue se kam az kam 26 afraad ki mout hui hai, Islamabad mein 22, Punjab mein 14, Balochistan mein 3 aur ek deegar ilaqay mein yeh amwaat hui hain. –YTN STAFF