Monday, April 21, 2025
HomeLatest NewsPakistan ke sabiq sadar Pervez Musharraf ke qaumi siyasat mein wapsi ki...

Pakistan ke sabiq sadar Pervez Musharraf ke qaumi siyasat mein wapsi ki qiyaas aariyan

Islamabad : Media reports ke mutabiq, Pakistan ke sabiq sadar Pervez Musharraf apni jamaat, All Pakistan Muslim League ( APML ) ko bahaal karkay qaumi siyasat mein wapsi ka iradah kar rahay hain.

Pakistan muslim league Nawaz hukoomat ne sabiq sadar ke November 2007 mein Mawur rayen Emergency nafiz karne par 2013 mein Musharraf ke khilaaf ghadari ka muqadma darj kiya tha, jiske nateejay mein mutadid aala adalat ke judges ko nazar band kar diya gaya tha aur 100 se ziyada jueges ko Bar-khast kar diya gaya tha.

76 sala sabiq sadar ek ghair mamooli Beemar se do-chaar they. aur woh 2016 may ilaj mualjay ke liye Dubai rawana hogaye they, is ke baad woh wapas nahi aaye hain, lekin andesha zahir kiya jaraha hai ke woh dobarah Pakistani siyasat mein sargaram honay ki tayari kar rahay hain. –YTN STAFF