Monday, May 20, 2024
HomeLatest NewsPait Mein 246 Packets Cocaine Rakhnay Walay Shakhs Ki Jahaz May Hui...

Pait Mein 246 Packets Cocaine Rakhnay Walay Shakhs Ki Jahaz May Hui Mout

Mexico City :  Columbia ke  se Japan ke shehar Tokyo ka safar karne wala shakhs ke maiday aur aant mein Cocaine ke 246 packets moujood honay ke baais iski mout hogayi jis ki wajah se jahaaz ko hungami landing karni padi. Sonora ke authorities  ke mutaqbiq 42 sala Umar shakhs ki shanakht is ke naam ke pehlay harf N se ki gayi jis ki takleef ke baais columbia se udnay wali commercial parwaaz ko mexico mein utaara gaya. bayan mein bataya gaya ke fazai maizbanon ne dekha ke 1 shakhs dard se tadap raha hai jis par unhon ne Sonora Hermosillo mein hungami tor par jahaaz utaarnay ki darkhwast ki. 2 baj kar 25 minute par jaisay hi jahaaz utra mazkoorah shakhs ko murda qarar day diya gaya, jiske baad honay walay post mortem mein yeh baat samnay aayi ke marnay walay shakhs ny Cocaine ke 246 packets nigal rakhay they, har packet ka size taqreeban dhai centi meter tha. manshiat ke zayed istemaal ke baais is ke dimagh mein soojan hogayi thi, jo is ki mout ki wajah bana .

Is hawalay se jari kiye gaye bayan mein kaha gaya hai ke baad azan mazkoorah shakhs ko le jaaney walay jahaaz aero mexico jis mein 198 musafir they se bain ul aqwami protocol ke mutabiq laash hata kar parwaaz bahaal kar di gayi. wazeh rahay ke manshiat ko insani jism ke andar khaali hisson mein chhupa kar smuggle karne ka tareeqa manshiat faroshon mein bohat maqbool hai . –YTN STAFF