Saturday, May 18, 2024
HomeTrending NewsPaidal chaltay huve Mobile istemaal karne par pabandi

Paidal chaltay huve Mobile istemaal karne par pabandi

Tokyo: Japan mein pehli martaba paidal chaltay huve mobile phone ki screen dekhnay par pabandi ayed kar di gayi hai. Is pabandi ka itlaq filhaal dar-ul-hukoomat Tokyo ke qareebi shehar Yamato mein kiya gaya hai. Tafseelaat ke mutabiq naye qanoon ki khilaaf warzi par jurmana ya saza nahi hogi aur is ka maqsad chaltay huve mobile screen dekhnay ke khatraat se aagah karna hai.

Yamato ke Railway Station par utartay hi ye elaan sunai deta hai ke chaltay waqt smartphone ke istemaal par pabandi hai, Apne phones is waqt istemaal karen jab aap paidal nah chal rahay hon. Railway station par har taraf hidayat darj hain jin ke zariye is naye qanoon ke hawalay se aagah kiya gaya hai. Banners par likha hai ke sadak, Parks ya kisi bhi awaami markaz mein paidal chaltay huve mobile ki screen dekhnay par pabandi hai.

Shehrioun ki badi tadaad ne is naye qanoon ki himayat ki hai jis mein badi omar ke ilawa nojawan bhi shaamil hain. 2 lakh 40,000 ki abadi ke is shehar mein chand loog hi naye qanoon ki khilaaf warzi karte huve nazar aaye hain. Maamar 64 sala rehaishi Kenzo Mori ne kaha hai ke aksar loog chehal qadmi ke douran ird gird ke mahol par ghhor karne ke bajaye mobile phone istemaal kar rahay hotay hain, Logoun ka khayaal hai ke wo mobile dekhe baghair nahi reh satke aur un ke liye dostoun ke sath musalsal raabtey mein rehna zurori hai.

Yamato ki ek 17 sala shehri Arika Iena ke khayaal mein is pabandi ke liye qanoon ki zaroorat nahi honi chahiye thi balkay logoun ko khud hi ahthyat karni chahiye, Paidal chaltay huve screen dekhnay ki aadat khatarnaak hai.

Japani mobile company NTT ki tahaqeeq ke mutabiq paidal chaltay huve mobile phone dekhnay waloun mein se 95 feesad aisay afraad hain jin ki tavajja screen par markooz honay ke baais inhen samnay nahi dikhayi day raha hota, Jis ki wajah se hadsaat mein izafay ka khadsha badh gaya hai.

Tahaqeeq mein Tokyo ke masroof tareen station par paidal chalne waloun ki misaal dete huve kaha gaya ke agar tamam 1500 afraad sadak par karte huve apni mobile screen dekh rahay hon to un mein se do tahai kisi nah kisi haadsay ka shikaar hon ge.