Catholic Mission ke Ruhani Peshwa Pope Francis ney Ireland mein itwaar ko Church ko hila dene walay bachon ke jinsi istehsal ke scandal par Khuda se maafi maangi hai. Pope ney ”khulay aam khoon” ke liye ”Khuda se maafi ke khawastgaar” hue aur ”sachaai aur adal” ki talaash ke liye sakht iqdamaat karne ka mutalibah kya. Ireland mein Pope ke daura ke mauqa par Padrion ki jinsi ziadation ke khilaaf zabardast muzahira kiya gaya. Pope Francis ney daura Ireland mein Padrion ki janib se ziyadati ke shikaar mutasireen se mulaqaat ki. Dublin mein Pope Francis ke aizaz mein istaqbalia ka ihtemaam kya gaya jis mein Irish Wazeer e Azam aur istehsaal ke shikaar baaz afraad ney bhi shirkat ki. Vatican tarjuman ke mutabiq Pope Francis ki Dublin mein ziadati ke shikaar afraad se mulaqaat taqreeban daidh ghantay taq jari rahi. iss mauqa par Pope ney khitaab karte hue kaha ke girja gharon mein bachon se ziadati ke waqeaat sharam naak hain, yeh makrooh aur nafrat amaiz jurm hai aur Church ki intizamia is jurm ko rokney mein nakaam rahi hai. Unhon ney Saint Mary Cathedral Church mein khitaab mein kaha ke agar social media ko aitdaal aur hosh mandi ke sath istemaal kya jaye to yeh faiday mand ho sakta hai. Pope ke daura ke mauqa par ziadati ke waqeat ke khilaaf Dublin mein baaz muqamat par muzahiray bhi kiye gay, baaz muzahireen ney galay mein bachon ke jootay bhi latka rakhay thae. Muzahireen ney istehsaal ke shikaar afraad se yakjehti ka izhaar kya aur Vatican se mutaliba kya ke ziadati mein mulawis Padrion ke khilaaf sakht karwai ki jaye. Wazeh rahay ke Pope Francis haftay ko Ireland ke tareekhi daura par Dublin pahonche hain aur pichlle 39 saal mein Ireland ka daura karne walay woh pehlay Pope hain.